Saturday, March 20, 2010

Badal ki tarha aawara hai’n hum

Badal ki tarha aawara hai’n hum
Bhulaa na paao gay jissay, woh nazaara hain hum
Toot ke fana ho jayey jo aap ki ek khwahish pe
Aasma’n ka woh andekha sitara hain hum….!!

Yu Hay Teri Talash Mein Ab Tak Yakeen Mujay

Yu Hay Teri Talash Mein Ab Tak Yakeen Mujay
Jasay Tu Mil Hi Jaiy Ga, Ik Din Mujay .
Mere To Jo Bhi Dil Mein Tha, Apnay Chehray Per Likh Liyah
Aur Ayk Tu Hay Kay, Ik Bar Bhi Parta Nahi Mujay

Dil hi dil mein unhe pyaar karte ha

Dil hi dil mein unhe pyaar karte hai.
Chupkese aaj ye izhar karte hai.
Na mumkin hai jin raston se unka guzarn.
Oon rahoon pe bhi unka intezar karte hai.

Jeena chahte hain magar zindagi raas nahi aati

Jeena chahte hain magar zindagi raas nahi aati,
Marna chahte hain magar maut paas nahi aati,
Bahut udaas hain hum is zindagi se,
Unki yaadein bhi to tadpane se baaz nahi aati…

Agar wo pochey to unse kehna.?

Agar wo pochey to unse kehna.?
Unke Aashique rehte thy yahan.
Dekhana unko Peepal ka Peed Or kehna.?
Ganey wo tanhai mein gungunatey thy yahan
Le jana unko Darwaze pe or kehna.?
iNtzar wo kiya karty thy yahan
Phir Rakhna Ungli Dil pe or Kehna.?
“Shikayat karty thy ke Dard hota hai yahan

Wo Mere Pas Hai Kia Pas Bulaon Us Ko


Wo Mere Pas Hai Kia Pas Bulaon Us Ko !!
Dil Mein Rehta Hai Kahan Dhoondne Jaon Us Ko !!
Wo Mujhe Itna Nazuk Itna Pyara Lagta Hai !!
Kabhi Gir Jaye To Palkon se Uthaon Us Ko

Har gharee sochta rehta hoon


Har gharee sochta rehta hoon bhalaai teri
Suunh nehi sakta kisi say burai teri

Sotey sotey kabhi uth parta hoon Roh parta hoon
Mujh ko is tarha saatati hai judaai teri

Socha tha ik zakhm hai bhar jayega

Socha tha ik zakhm hai bhar jayega
kya khabar thi rag-o-jan mein utar jayega

Theek likha tha meray haath ki lakeeron mein
Tu agar piyar karega to bikhar jayega.

Apne ghamo ki youn numaish na kar

Apne ghamo ki youn numaish na kar,
Apne nasib ki youn aazmaish na kar,
Jo tera hai tere dar peh khud aayega,
Roz roz use paane ki khwaish na kar.

Youn Kabhi Tabaahi Ka Jashan Mana Lete Hain

Youn Kabhi Tabaahi Ka Jashan Mana Lete Hain
Apni Palkon Peh Sitaron Ko Saja Lete Hain
Tum To Apne The Zara Haath Badhaya Hota
Ghair Bhi Doobne Wale Ko Bacha Lete Hain…

Mohabbat ke chaand ko apni panah mein rehne do

Mohabbat ke chaand ko apni panah mein rehne do,
Labon ko na kholo aankhon ko kuch kehne do,
Dil peh haath rakho aur kuch dair rehne do,
Mujhe mehsoos karo aur apne paas hi rehne do.....

Kitny jaldi yeh mulakat guzar jati hy


Kitny jaldi yeh mulakat guzar jati hy
Pyaas bujhti bhi nahi barsaat guzar jaty hy
Apni yadoon say kahoo youn na aaya karain
Need aati bhi nahi raat guzar jaty hy

Dil hua zakhmi magar kisi ko khabar nahin

Dil hua zakhmi magar kisi ko khabar nahin
Meri chahaton ka uspar koi asar nahin

Ho k juda tum se ek shakhs mar jayega
Sun kar us ney kaha yeh koi buri khabar nahin…

Jurm-e-Mohabbat ki saza

Yoon Jurm-e-Mohabbat ki saza deti hai Duniya,
Hanstey huey chehron ko rula deti hai duniya,
Marney ki Tamanna ho tou, marney nahin deti,
Jeetey hain tou jeeney ki saza deti hai Duniya…

Wo Thukra Gya Mujhe


Kitne Wo Itminan Se Thukra Gya Mujhe
Aansoo Bana K Aankh Se Tapka Gya Mujhe

Kesi Ye Rehbari Thi, Ye Kesa Fareb Tha
Manzil Dikha K Rah Se Bhatka Gya Mujhe…..

Ek naya mausam aaj phir aaya hai

Ek naya mausam aaj phir aaya hai
Aaj phir kisi ne aankhon se ashk bahaaya hai
Chhup gaye aansoo aaj phir baarish mein
Dil mein phir gham ka sailaab aaya hai
Chhupaaye chal diye hum toh baarish mein
Koi hamein kabhi kya samajh paaya hai
Aansoo ban kar aayi yaad jo teri
Ussi yaad ne hamein hansaaya hai
Bas kaash agar saath hote tum
Toh mausam yeh bhi sau rang laaya hai…

Hasrat rahi hamse bhi koi pyar kare


Hasrat rahi hamse bhi koi pyar kare
Aakar tanhai main wo pyar ka ijhar kare
Saja lunga palko pe sitaro ki mahfil
Sapno ki rani jab ru-b-ru bat kare
Har gam har sitam ko bhula dunga hamdam
Mujhe chahne wala gar jo mujhe yad kare
Sahil pe baith kar warso intezar kiya hamne
wo kab aaye kashti hamari uss par kare
Bhula kar gam sabse mile sanjidgi se ham
Aur mera hi daman mere gam se inkar kare
Sajakar ashq palkon pe ye soch raha hai
Tanha ‘Avinash’ ab kis-kis se fariyad kare.

Yun hairani se na dekh bigri surat ko

Yun hairani se na dekh bigri surat ko
Main bhi kabhi mahfil ki shan hua karta tha
Bat sirf aapki nahi jo gam na karu
Har dil ka kabhi mehman hua karta tha
Afsurda chehra se ab log kyon na katraye
Muskan hi meri pahle pahchan hua karti thi
Mere gulshan ko khija kar diya jisne wahi
Chaman kabhi mera bagwan hua karta tha
Ab bhi mujhe yad hai judai ke din
Didar hi dildar ki jan hua karti thi
Khanjar laye hai wah aastin main chhupakar
Jan meri jinke liye arman hua karti thi
Marte hain wo bhi pathar mere diwanepan pe
Jiske liye gamkhor kabhi eman hua karta tha.

Diwangi ki kyon main had se gujar gaya

Diwangi ki kyon main had se gujar gaya
Dil ka jo chain tha wo jane kidhar gaya
Dekha hai jisne bhi use aakar mujhe bataya
Jakar rahunga main udhar wo jidhar gaya
Logo suno jara hal hai mera kuchh aisa yahan
Gir ke shisha fars par jaise bikhar gaya
Aata nahi hai chain jati nahi hai jan meri
Kaisa ye tir mere dil main utar gaya
Tujhme jo nasha hai wo hi nasha chadha hai
Kaisa ye dard mitha mere dil main thahar gaya
Isq hai kaisa tera, kaisa khumar hai
Chahat nahi thi isq ki magar isq kar gaya
Teri ik jhalak se tera diwana ban gaya
Tere muskan se hay main to mar gaya.

Friday, February 26, 2010

Kaun kisko dil mein jagah deta hai

Kaun kisko dil mein jagah deta hai,
Ped bhi sukhe patte gira deta hai.
Wakif hain hum duniya ke riwazon se,
Dil bhar jaye to har koi bhula deta hai..

Some Interesting News

Share Your Shayari With Blog

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...