Thursday, December 4, 2008

maiN bhool jaNe waloN ki nishaNi nahi rakHta

tu naam ka dariya hai rawani nahi rakhta
badal hai wo be-faiz k pani nahi rakhta
ye akhri tasweer akhri khatt bhi le ja

main bhool jane walon ki nishani nahi rakhta

ye zabtt chhoot geya to tumhari yaad aayi
main thuck k toot geya to tumhari yaad aayi
tumhare bad na tha mera koi dil k siva

ye dil bhi rooth geya to tumhari yaad aayi

Mujhe Mohabbat Ho Jaayengi... Yeh Socha Na Tha
Tujh Se Aashique Ho Jaayengi.. Yeh Socha Na Tha.....
Is Kadar Dil Tarpega.. Tujhse Bichar Jaane Pe.
ankein Deedar Ko Taras Jayengi...Yeh Socha Na Tha...

Wada pe woh humare aithbaar nahi karte
Darta hai dil woh sochte hai ke hum pyar nahi karte
Kadam kadam pe zakhm khaye hain
Zindagi mein sirf ek gham hai par hum zindagi se shikayat nahi karte

"Raaz-e-Dil, Kisi Ko Bataa Naa Sake ..
Dil Ke Zakhm, Kisi Ko Dikhaa Naa Sake ..

Sun Lii, Zamaane Bhar Ki Fariyaadein,
Jo Khud Pe Guzrii, Wo Suna Na Sake ..

Umar Guzri Gairon Ke, Gham Mitaate,
Wo Jo APNA tha, Use Hansa Naa Sake ..

Utha Liya Bojh, Zamane Bhar Ka Humne "love",
Bas Apne Sapnoon Ka Bojh, Utha Naa Sake .... "

kadar karte hain

har baat mein hum dekho uska jikar karte hain...
naadan hai wo jo khud ki fikar karte hain....
unhe kya jarurat khudko sawarne ki yaaro...
ye kam hai kya ki hum unki kadar karte hain..


is shehar mein kuch log aise hai....
jo dil todne mein maahir hain...
hum bhi na unse bach paayenge...
ye baat bhi sabko jaahir hai...

yaad mein kuch is tarah wo khote hain....
lagta hai din mein bhi wo rote hain...
kuch is tarah bimaar hain hum bhi ishk ke...
ki raat mein aankhein khol ke sote hain...

dard bhi hai humein aur mohabbat bhi
nafrat bhi hai aur unse chahat bhi
gam hai k vo nahi samajh paye is dard ko
par kareeb hain vo hamare hai ye raahat bhi

Ham tere dil mein

Ham tere dil mein rahenge ek yaad bankar,
Tere lab pa khilenge muskaan bankar,
Kabhi hamein apne se juda na samajhna,
Hum tere saath challenge aasmaan bankar


woh roye to bahot par muh modke roye...
bade majbur honge jo dil tod ke roye...
hamare samne kar diye hamari tasvir ke tukde....
bad me wohi tukde jod jod ke woh roye...


Aaj mat rok khud ko madhosh ho jane de,
pas aa apne nashe mein kho jane de,
na au hosh mein na kabhi meri saanson se teri mehek jaye,
band kar le aankhein ab jo hota hai ho jaane de.


Yun durr rehkar

Yun durr rehkar duriyon ko badaya nahi karte,
Apne deewano ko sataya nahi karte,
Har waqt bas jise tumhara khyal ho,
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte


Woh sagar nahi aansoo the mere,
Jispar woh kashti chalate rahe.
Manzil mile unhe yeh aarzo thi meri,
Issliye hum aansoo bahate rahe.

Some Interesting News

Share Your Shayari With Blog

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...