Friday, February 26, 2010

Kaun kisko dil mein jagah deta hai

Kaun kisko dil mein jagah deta hai,
Ped bhi sukhe patte gira deta hai.
Wakif hain hum duniya ke riwazon se,
Dil bhar jaye to har koi bhula deta hai..

Khusbuon ki tarha meri her saans mein

Khusbuon ki tarha meri her saans mein,
Pyar apna basane ka wada kro,
Rang jitne tumhari mohabat k hain,
Meray dil mein sajane ka wada kro,
Hai tumhari wafao pe mujko yaqeen,
Phir b dil chahta hai meray dil nashen,
Yunhi meri tasali ki khatir zara,
Mujko apna banane ka wada kro,
Mein tumhain yaad rakhne ki khaon qasam,
Tum mujhe na bhoolane ka wada kro…

Pyar main kis tarah dhokha diya


Pyar main kis tarah dhokha diya tumne ye kaise bhool paunga,
Tum Bewafa ho gayi to kiya fir bhi teri galiyon main aaunga.


Zakhm kuchh aise hai phulo per soya na gaya,
Jism jalkar khak aankho se roya na gaya.

Main apni halat pe khud hoon hairan

Main apni halat pe khud hoon hairan,
Kiyon aansuon main asar nahi.
Tadap raha hoon jiske gam main,
Kiya usko iski khabar nahi hai.

Dil ke jakhmon ko yoon chhupakar rakhenge ham

Dil ke jakhmon ko yoon chhupakar rakhenge ham
Jisne diya hai dard use bhi na jahir karenge ham
Unko chahte hain unhi ko chahenge fir bhi
Dil ki bat dil main hi chhupayenge ham
Tumhari yadon ki janjir se bandhe hai aise
Bhulna mushkil hai tadapte rahenge ham
Ret par likhte hain tumhara nam bar-bar
Tumhari yadon se dil raushan karenge ham
Aankhon main jisko padhna hai “Dost” padh le wo bar-bar
Tumhe pane ki hasrat main aansuoo bahayenge ham.

Samne to beraham barshat thi

Samne to beraham barshat thi
Aaj lambi jindgi main rat thi
Wakt ke hathon hua majboor main
Kabile tarif uski bat thi
Chhod di baji humne jankar
Jitne par humari mat thi
Gam galat karne ka mausham aa gaya
Maykade main ho rahi barshat thi
Aasuoon ko kiyon bahaun main “Dost”
Ye kisi Ki di hui saugat thi.

“Nishan” gam ke rahte hain der tak

“Nishan” gam ke rahte hain der tak
Afsane yad aate hain der tak
Wo yad nah karta shayad ab
Hum aaj bhi pukarte hain der tak
Kabhi uske harf hasa dete the
Aaj uski yad rulati hai der tak
Nahi aansan bhulana apni Mohababat
Darde Mohababat rulati hai der tak
Jakhm aisa jindgi ne diya hai “Dosh”
Aankhon se aansu bahte rahte hain der tak”

Ae zindagi yu mujse Daga na kar

Ae zindagi yu mujse Daga na kar
me zinda rahu Bin uske ye dua na kar
koi dekta he use to hoti he jalan
Ae Hawa tu B use chuva na kar…

Dard dil ka ab saha nahi jata

Dard dil ka ab saha nahi jata
Bin tere ab raha nahi jata
Log kehte hain “BEWAFA” tujko
Mujse ye bhi kaha nahi jata

Jindgi khwabo ki tarah saza lete


Jindgi khwabo ki tarah saza lete
koi to hota usko apna bana lete
kisine kadar hi na ki hamari
warna dil to kya khud ko bhi jala dete.

Kya Mohabbt Kisi Ke Bhi Kabil Nhi Hai

Kya Mohabbt Kisi Ke Bhi Kabil Nhi Hai
Jo Dil Chahe Q Use Wo Hasil Nahi Hai
Saans Ab Jivan Ko Itni Dur LeAyi Hai
Maut Keh Rhi He WoTeri Manzil Nahi Hai.

Dil main tamanao ko dabana shikh liya


Dil main tamanao ko dabana shikh liya
Gham ko ankho main chhupana shikh liya
Mere chehre se koi bat zahir na ho
Isliye Daba ke honto ko muskrana sekh liya.

Bade hi sarfrosh hua karte hai


Bade hi sarfrosh hua karte hai
Hakikato ki aaghosh huwa krte hai
Meri chup se naraz na hua karo
Gehre samunder hamesha khamos Hua Krte Hai.

Ye gazlo ki Duniya Bi Ajib hai

Ye gazlo ki Duniya Bi Ajib hai,
Yaha Aansu ka bhi jam banaya jata Hai
Keh bhi Dete Agar Dard-e-dastan,
phir bhi Wah Wah Sunaya Jata hai

Karoge yaad ek din is pyar ke zamane ko


Karoge yaad ek din is pyar ke zamane ko,
Chale jayenge jab hum kabhi na vapas aane ko.
Chalega mehfil me jab zikr hamara koi,
To tum bhi tanhayi dhundoge aansu bahane ko.

Bagair jane pehchane ikrar na kijiye

Bagair jane pehchane ikrar na kijiye,
Muskura kar dil ko bekarar na kijiye,
Gulab bhi de jate hai zakhm gehra kabi kabi,
Har Gulab par yu aitbaar na kijiye.

Waqt bahot kam he Saath bitane me

Waqt bahot kam he Saath bitane me;
Ise na gawana kabhi ruthne manane me;
‘RISHTA’ to humne bandh hi liya he aapse;
Bas thoda sa Saath de dena ise Nibhane me.

Dard se dosti ho gayi yaaron

Dard se dosti ho gayi yaaron,
Zindagi bedard ho gayi yaaron.
Kya hua jo jal gaya aashiyana hamara,
Door tak roshni to ho gayi yaaron..

Gujre hum teri galiyon se itni

Gujre hum teri galiyon se itni,
Ki teri gali ki har mitti mujhe pahchan gayi.
Mili na fir bhi mujhko tum,
Dil main tumse milne ki aas rah gayi…..

Jindgi kya hai aansuo ka dariya hai

Jindgi kya hai aansuo ka dariya hai
bah jaye in aasuo main dil karta hai
Jindgi ke har mod pe gam hi mile hain
Kho jayen kis mor pe dil karta hai
Apna jise bhi samjha wahi dur ho gaya
Har kisi se bichhar jane ko dil karta hai
Kitne jakhm khayen hain phulon se hamne
Kanton se dil lagane ko dil karta hai
Ye jindgi tujhe na ras aa saki ‘Sang-E-Dil’ (jiska ka dil pathar ka ho)
Na jane kyon ab to mar jane ko dil karta hai.

jab v koi yaad si lehrayi hai


jab v koi yaad si lehrayi hai
dil ne ek chot nayi khaayi hai
phool daaman mein ho ya kaante ho
teri har cheez meri rubaayi hain
kya ajab khel dikhata hai humhe
waqt aisa bhi tamashayi hai
kisko duniya mein hum kahe apna
yahan har cheez hi parayi hai
aap kaanton se huye hain ghayal
chot phoolon se maine khaayi hai
bheed mein tanha-tanha rehta hoon
aisi tabhiyat hi maine paayi hai
zindagi naam hai muqaddar ka
maat kismat se maine khayi hai..

Aur man hi man rona sikhaya

Zindagi ne mujhe bahut kuch sikhaya Thanhayi mein jeena sikhaya,
Pyar ko chupana sikhaya, Doston se haske milna sikhaya,
Aur man hi man rona sikhaya,
Ab kya kahunZindagi ne bahut kuch sikhaya Magar jeena nahin sikhaya

Yahi Wafaa ka silaah hai to koi baat nahi

Yahi Wafaa ka silaah hai to koi baat nahi,
Yeh dard tumne ramu ko diya hai to koi baat nahi.

Yahi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se,
Safeena doob raha hai to koi baat nahi.

Rakha tha aashiyana-e- dil main choopa ke tumko,
Woh garg tumne chor diya hai to koi baat nahi.

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha,
Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi.

Kise majaal kahe koi mujhko deewana,
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi

Sab the hairat waha aadmi dekhkar

Sab the hairat waha aadmi dekhkar
Khush wah hota tha sabki khushi dekhkar
Iss taraf uss taraf kitne the aadmi
Chhal gaya wo mujhe sadgi dekhkar
Chhat pe jane ki jid mujhse karne lagi
Usko sujhi bhi kya chandni dekhkar
Ek farishte ne kimat ghata di thori
Ek beti meri chand si dekhkar
Dosti main bhi khanjar tha trishul tha
Log kya sikhte dushmani dekhkar
Thi jagah wo yahi wada tha umar ka
Chand aane lagi har gali dekhkar
Meri mayat pe bhi aankh nam na hui
Dil thithak sa gaya berukhi dekhkar.

Teri Mohababat yad aati hai hamko

Teri Mohababat yad aati hai hamko
Teri wafayen satati hai hamko
Kyon chhodkar hame ajnabi ho gaye
Din rat teri yad tadpati hai hamko
Tere jane ka asar hua Kuchh iss tarah
Ab har khushi rulati hai hamko
Suna hai hal tumhara bhi bura hai juda hokar hamse
Yah raj teri sakhiyan batati hai hamko
Iss jamane ne kya hal kar diya tumhara
Kya ye duniya tadpane ki saja deti hai hamko
Pyar main yahi hal hota hai aksar ‘Dost’
Aati jati fija yahi kahti hai hamko.

Umar gujar gayi tere pyar ko pane main

Umar gujar gayi tere pyar ko pane main
Ab waqt katta nahi teri yadon ke saye main
Yad teri hamko har pal satati hai
Kabhi hasati kabhi rulati hai
Kitni Mohababat karta hoon tujhse
Dekh jhank kar mere dil ke aaine main
Aur jab hua tha ikrare wafa sanam
Ham dono ne milkar khai thi kasam
Jamana lakh diware chunwa de lakh sitam karle
Ham nahi bahkege duniya ke aag lagane main
Aapne to hamara par bhar main hi sath chhod diya
‘Avinash’ ke dil ko tadapta chhod diya
Kya kami rah gayi thi
Meri Mohababat ko aajmane main.

Yahan bewafai ke siwa kya hai wafa ka sila


Yahan bewafai ke siwa kya hai wafa ka sila
Dil laga ke dekha hai maine, Mohababat main dhokha mila
Berukhi sanam ki luta meri khushiyon ka karwa
Majburiyan tadapne bhi nahi deti karu kis se gila
Dekhte hai ghur-ghur ke sab gujarta hoon jis gali se
Dayre jist main hai ruswaiyon ka silsila
Tabas-sum kayam hai chehre pe fir bhi
Tabdil hua khandhar hai hay dil ka kila
‘Avinash’ kayar nahi mar jaye khake jahar
Dekhna banki hai bahut duniya ki lila.

Mehdi rache hatho se kam kaise ho

Mehdi rache hatho se kam kaise ho
Rahi ho par na mukam kaise ho
Jakhm lage hain kitne gahre kya kahoon
Hotho se apne ye bayan kaise ho
Sajde main kyon sir jhuka tha kya kahun
Khuda se jaise puchh raha tha kaise ho
Char din ki chandni main chamka khub
Manjur andhere ka kamyabi mukam kaise ho
Pira itni jhel li thi usne jiwan bhar
Milne par bhi nahi puchha tum kaiso ho.

Ashq rukenge nahi aankhon main aaya hi karenge

Ashq rukenge nahi aankhon main aaya hi karenge
Fasana bewafai ka jahanko bataya hi karenge
Fankar lakh chahe gito se nijat
Saj-E-Jhankar pe kuchh gungunaya hi karenge
Jakhmi dil ki karah tum tak pahunche na pahunche
Ye shero ka guchhe tum tak jaya hi karenge
Paida hote rahenge tum sa jahan main jab tak
Mohababate chirag yun hi bujh jaya hi karenge
Likhte rahenge ‘Avinash’ Hum hal apne dil ka
Ban jaye nek gajal to log gaya hi karenge.

Dur rahkar mujhse waqt bitaya na karo

Dur rahkar mujhse waqt bitaya na karo
Bahut rula chuke ab aur rulaya na karo
Diwana hoon main tera, Pagal nahi hoon koi
Mujhe marne ko pathar uthaya na karo
Chale aao khuli hai dil ki khidki tere liye
Darwaja kisi aur ka khatkhataya na karo
Bhikhari hoon pyar ka main koi tamasha nahi
Hans-Hans ke yun taliya bajaya na karo
Dil to kho diya hai, Meri jan bhi chali jayegi
Pyar ko mere iss tarah thukraya na karo.

Chahaton ke junun main ruswaiyan mili

Chahaton ke junun main ruswaiyan mili,
Mujhe sunapan tumko shahnaiyan mili.
Ye hi nashib tha, kis se shikwa kare,
Tumhe sej phoolo ki hame tanhaiyan mili.

Some Interesting News

Share Your Shayari With Blog

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...