Saturday, February 20, 2010

cchhota sa aashiyana

chhota sa aashiyana
Barbad ho gaya hai tera jo tha diwana
Khwabon main aa bhi jao haqiqat main ab na aana
Tum bhi basa lo apna koi naya gharana
Barbadiyo ka un par aisa hua asar hai
Aankho main koi sapna, na hotho par koi gana
Bas sawal hi milega daman main uske ab to
sadiyon tak raha jo phoolon ka hi khajana
Aisi na kismat likhna ab tu kisi ki “Avinash’
Ghut-ghut kar ji raha hai tera hi ab diwana.

LIKH LIKH KAY EIK EIK LAFZ MITANA HAZAR BAAR

LIKH LIKH KAY EIK EIK LAFZ MITANA HAZAR BAAR
MERAY KHAT NIKAL KAY PARHNA GHARI GHARI
Yeh JAAN LO KATHIN HAIN MUHABET KI MANZLAIN
PHIR RASTAY MAIN MUJH SAY NA LARNA GHARI GHARI…

Dil Ka Ameer Mukadar K Ghareeb Tha

Dil Ka Ameer Mukadar K Ghareeb Tha,
Mil K Bicharna Mera Naseeb Tha
Chah Kar bhi Kuch Na Kar Sake Hum,
Ghar Bhi Jalta Raha Aur Samander Bhi Khareeb Tha…

Toot jaye na bharam hont hilaoon kaise

Toot jaye na bharam hont hilaoon kaise
Haal jaisa bhi hai logon ko sunaoon kaise
Wo rulata hai rulaye mujhe jee bhar ke
Meri ankhein hai woh, main us ko rulaoon kaise

Jab Taq WOh Sirf Mera Tha Anmol Tha Sab Se

Jab Taq WOh Sirf Mera Tha Anmol Tha Sab Se,
Juda Jo Hua Mujhse Toh Aam Hogaya,
Dukh Toh Yeh Hai K Woh Shakhs Kissi Ka Na Hua,
Bas Shohraton K Shoq Mein Badnaam Hogaya…..

Mere bewafa sanam bewafa hota

Mere bewafa sanam bewafa hota
Aaj na yun hal hamara hota
Log kyon mujhko bura kahte
Aaj agar wo hi bhala hota
Main bhi ek jindgi jita yaron
Usne chahat ka jo jam pilaya hota
Main bhi kyon dar-badar thokre khata
Aaj agar usne sine se lagaya hota
‘Dost’ jindgi sukun se gujarti
Agar dil na uss bewafa se lagaya hota..

Parda isliye na karo ki tum bahut khubsurat nahi


Parda isliye na karo ki tum bahut khubsurat nahi,
Utha do chehre se nakab hum kahte hai tum badsurat nahi,
Meri hi gajal ho tum mere pyar ki dayri,
Pal-pal gungunata hoon jise, tum ho meri wo shayri,
Hum kahte hai ki parda karo to pura karo e ‘Gulnaz’
In nashili aankhon se hamko na ghura karo,
Ham to mar mite hain tumhare hi pyar se,
Hamko roka karo na yun bhare bazar main,
Jab se hue hain unpe fida ek ‘Avinash’
Jab maja aata hai unke didar se...

Woh Sham Woh Rukhst Ka Sama Yaad Rahega

Woh Sham Woh Rukhst Ka Sama Yaad Rahega,
Woh Shehr Woh Safar Woh Makan Yaad Rahay ga,
HUm Bhool Sakay Hain Na Tujhay Bhool Sakeingay,
Tu Yaad Hai Yaad Tha Aur YAad Rahega…!!!!

Is Tarah Dil Ko Teri Yaad Se Behlatay Hain

Is Tarah Dil Ko Teri Yaad Se Behlatay Hain,
Raat Bhar Teri Har Ek Baat Ko Duhratay Hain,
Hum Teri Yaad K Taptay Hue Sehra Mein,
Khushk Paton Ki Tarah Roz Bikhar Jatay Hain…..!!!

rafta rafta us ko bhi ye duniya raas aa gye

rafta rafta us ko bhi ye duniya raas aa gye
muskra k woh mila hy ranjishon k baad bhi

faasle kab kum howey hain rabton k baad bhi
ajnabi thay ajnabi hain “mohabbaton” k baad bhi

Ab dua main khuda se kya mangu

Ab dua main khuda se kya mangu
Ab gairo ki ho gayi wah use main kaise mangu
Wafa ka wasta dekar bewafai ki jisne
Uss se apni mohababat ka haq kya mangu
Jan bujh kar anjan ban gaye jo
Uss se milne ki dua kya mangu
Mohababat main hamne ranjo-gam uthaye hain sada
Sanam ke khush rahne ki dua kya mangu
Jise main chahta hoon use kismat chhin leti hai
Tum kaho dosto main dua main kya mangu.

Dil main lagi aag to bacha kuchh nahi

Dil main lagi aag to bacha kuchh nahi,
Tum kahte ho abhi jala kuchh nahi,
Apno se tang aakar agar hath main,
Koi talwar utha loon to bura nahi,
Kab mitegi ye majburiyan mere dil se,
Tum batao mujhe ab pata kuchh nahi,
Tumhari tasvir chha gayi hai mere dil main,
Mere dil main aakar tumhe to hua kuchh nahi hai,
Tumhare karib aakar laut jati hoon main,
Lekin aaj tak tumse kaha kuchh nahi hai,
Tu mane ya na mane sach hai iss duniya main,
Daulat ke samne ab iman kuchh nahi hai,
‘Sanam’ tumko bhi mujhse kuchh na mila,
Kash! gam ke siwa mere pas raha kuchh nahi hai..

Unke pyar ne hame iss kadar diwana bana diya

Unke pyar ne hame iss kadar diwana bana diya
Khud ko bhul gaya, mujhe khud se begana bana diya
Jab se wo chale gaye hamse juda hokar
Dekhne ki hasrat rah gayi, mujhe aisa aaina bana diya
Najar nahi aata iss gam ke dhue main kuchh bhi
Tadap gaya raushni ke liye mujhe aisa parwana bana diya
Log kahte hain dard kam hota hai sharab pine se
Jaha dard hi dard hai mere jivan ko aisa sharab khana bana diya
Manjil hai kaha hame kya pata
Har cheej se bekhabar mujhe ‘Anjana’ Bana diya.

Tere naam se jo tadap jaye,woh insaan hoon me

Tere naam se jo tadap jaye,woh insaan hoon me
teri yaadon se bohut preshaan hoon me
aaker dekhle phir uss nigaah se ek baar
tune chaha tha jise,wohi”Rizwan hoon me…….

Rakh Kar Sogaye Unki Yaad

Rakh Kar Sogaye Unki Yaad
Koun Piya Tha, Koun Jeeya?
Bhed Naa Paya Saari Raat
Woh Yaad Aaye Jinke Aansoo
The Gham Ki Kahani
Mere Saamne Baith Ke Roye
Dukh Naa Bataya Saari Raat

Deewar Wo Dar Se


Deewar Wo Dar Se,
Sar Takrayi Saari Raat,
Unse Shikwa Kaise Jinki,
Yaad Ne Bitha Ke Pehlo Me,
Saari Raat Aankhoun Me Kaati,
Dard Naa Bataya Saari Raat,
Unse Shikwa Kis Munh Se,
Ho Jinke Hai Ehsaan Bohut,
Jinki Narm Yaad Ne Dukhta,
Dil Sehlaya Saari Raat,.
Roote Roote Seene Par Sar...

Par bhool se bhi tumhe aavaaz na denge

Unn raston se hum guzarenge jahan tumhari parchaii milley..
Par bhool se bhi tumhe aavaaz na denge..!
Tumhara zikra bhi aye toh hum khamosh rahenge..
Taki kissi mehfil mein tumhe rusva na kardein..!!

Unko kabhi koi dil na de, ye mita dete hain

Unko kabhi koi dil na de, ye mita dete hain,
Karke pyar ki guftugu fasa lete hain,
Khub karte hain tanhai ka ilaj,
Bechaini badhti hi rahti hai aisi dete hain,
Ab to use dekhna bilkul pasand nahi,
Pahle dil dete hain fir dil se bhula dete hain,
Surat hai uski chandni ki tarah magar,
Dil todkar dil main andhera kar dete hain,
Dil na lagaye uss se koi kabhi,
Pyar ka ikrar kar inkar kar dete hain,
Ab kabhi uss se pyar na karna E ‘Dost’
Aise log chalne se pahle hi gira dete hain.

Apni Palko pe meri tasvir ko saja ke rakhna

Apni Palko pe meri tasvir ko saja ke rakhna,
Apne dil main meri shamma ko jala ke rakhna,
Agar bujh jaye to ho jaye na andhere kahi,
Isiliye meri amanat ko thoda bacha ke rakhna,
Meri muhabbat ka na ho jaye pardafash kahi,
Apni masum khatao ko thoda chhupa ke rakhna,
Kho na jau dekhkar teri aankho ke hajaro sapne,
Apni rangin nigaho ko thoda jhuka ke rakhna,
Rah na jaye ham dono ke arman banki,
Khuda ke samne apne daman ko faila ke rakhna,
Agar mar bhi jaye ‘Avinash’ milne se pahle kahi,
Apni musar rat bhari aankho ko na bhiga ke rakhna....

Rotey hai teri yaad mein

Rotey hai teri yaad mein,
iske siva hum kya karen,
Kismat mein hona tha juda,
tujhse gila hum kya karen,
Kar ke duva manga tujhe,
pa kar magar khoya tujhe,
Mange khuda se aur kya,
koi fariyad hum kya karein,
Jab tak teri tasveer thi dil mein,
pyara tha dil ka aaina,,
Jab tu hi nahi hai diruba,
toh yeh aaina hum kya karei,
Rotey hai teri yaad mein,
iske siva hum kya karein....

Jab mera naam uske hoton par aaya hoga

Jab mera naam uske hoton par aaya hoga,
khudko usne rusvaai se bachaya hoga,
suni hogi jab mere mohabbat ki dastaaan,
kya usko khudka sitam yaad na aaya hoga…

Maan bhi jao ‘jana’ ab maan bhi jao

Maan bhi jao ‘jana’ ab maan bhi jao,
is tarah se mujheyun na tarsao,
main bikhar chuka hoon,toot chuka hoon yaadon me tumhari,
ab aur kisi tarah se mujhe yun na tadpao,
maan bhi jao ‘jana’ab maan bhi jao,
mera haal pucho is dil ki tanhaiyon se,
kya haal hai mera ab samajh bhi jao,
bekhudi si chha rahi hai isdil ki gehrayion me ab jaan bhi jao,
maan bhi jao ‘jana’ab maan bhi jao,
dil udas hai ise aapki aas hai,
kab hogi poori ye aas zara bataao,
dil ko nahi hai sukun ek lamha bhi khataonse yumhari,
ab ho saketo in khataon ko bhool bhi jaao ,
maan bhi jaao ‘jana’ab maan bhi jao
maan bhi jaao ‘jana’ ab maan bhi jaao .

Kyon ye din dhal jata hai ek waqt ke baad

Kyon ye din dhal jata hai ek waqt ke baad,
kyon mann udaas ho jata hai tere jane ke baad.
Chali aa kabhi sham dhalne k baad,
dede mujhe khushi ek zamane k baad,
Na chahunga kuch aur phir tujhe pane k baad,
ye waada hai mera us Khuda ke sath…

Jab mera naam uske hoton par aaya hoga

Jab mera naam uske hoton par aaya hoga,
khudko usne rusvaai se bachaya hoga,
suni hogi jab mere mohabbat ki dastaaan,
kya usko khudka sitam yaad na aaya hoga…

Maan bhi jao ‘jana’ ab maan bhi jao

Maan bhi jao ‘jana’ ab maan bhi jao,
is tarah se mujheyun na tarsao,
main bikhar chuka hoon,toot chuka hoon yaadon me tumhari,
ab aur kisi tarah se mujhe yun na tadpao,
maan bhi jao ‘jana’ab maan bhi jao,
mera haal pucho is dil ki tanhaiyon se,
kya haal hai mera ab samajh bhi jao,
bekhudi si chha rahi hai isdil ki gehrayion me ab jaan bhi jao,
maan bhi jao ‘jana’ab maan bhi jao,
dil udas hai ise aapki aas hai,
kab hogi poori ye aas zara bataao,
dil ko nahi hai sukun ek lamha bhi khataonse yumhari,
ab ho saketo in khataon ko bhool bhi jaao ,
maan bhi jaao ‘jana’ab maan bhi jao
maan bhi jaao ‘jana’ ab maan bhi jaao .

Abhi To Ishq Main Aisa Bhi Haal Hona Hai

Abhi To Ishq Main Aisa Bhi Haal Hona Hai
K Ashq Rokna Tum Se Mohaal Hona Hai

Har Aik Lab Pe Hai Meri Wafa K Afsanay
Tere Sitaam Ko Abhi Mahsoor Hona Hai

Tumhain Khabar Hi Nahin Tum To Loot Jaoo Gey
Tumharay Yaad Main Ek Lamha Bhi Saal Hona Hai

Tujhe Jab Bhi Koi Gum Sataye Mere Sanam
Mujko Tere Pyaar Ki Dhaal Hona Hai

Kabhi To Roye Ga Woh Bhi Kisi Ki Bhahoon Main
Yaad Aaon Tab Bhi, Esha Mujhe Lajawab Hona Hai

Milayge Hum Ko Bhi Apne Naseeb Ki Khushiyaan
Bas Intizaar Hai Kab Yeh Kamaal Hona Hai

Har Shaks Chalayga Meri Rahon Per
Mohabatoon Main Humahin Woh Misaal Hona Hai

Yaqeen Hai Mujh Ko Woh Lout Aye Ga
Usay Bhi Apne Kiye Ka Malal Hona Hai……
Your Ashiqe Dewana

BeMurrawat Hai Woh

BeMurrawat Hai Woh…
BeWafaa Hai Woh…
Uss Sitamgar Ka Apne Dilbar Ka….
Naam Le Lekar Duhai Diya Karte Hain….

Aashiq Sunate Hain

Din Raat Ulfat Me Tamasha Khoob Chalta Hai…
Raatoun Se Bhi Lambe Yeh Pyaar Ke Qisse…
Aashiq Sunate Hain
Jafa-E-Yaar Ke Qisse…

Naa Duaoun Se Kaam Chalta Hai

Naa Duaoun Se Kaam Chalta Hai…
Zaher Yeh Phir Bhi Sabhi Kyun Piya Karte Hain…
. Jaane kyun Log Mohabbat Kiya Karte Hain..
Mehboob Se Har Gham Mansoob Hota Hai…

Furqat Me Jab Dil Ko Kisi Ki Yaad Aati Hai


Furqat Me Jab Dil Ko Kisi Ki Yaad Aati Hai…
Yeh Zindagi Yunhi Barbaad Hoti Hai…
Har Waqt Hontoun Par Koi Faryaad Hoti Hai…
Naa Dawaoun Ka Naam Chalta Hai..

Koi Kya Jaane Kyun ye Parwane

Koi Kya Jaane Kyun ye Parwane…
Kyun Machalte Hain, Gham Me Jalte Hain…
Aaahein Bhar Bhar Ke Deewane Jiya Karte Hain…
Sawan Mein Aankhoun Ko Kitna Rulati Hain…

Tanhaiye Milti Hai Mehfil Nahi Milti

Tanhaiye Milti Hai Mehfil Nahi Milti…
Raah-E-Mohabbat Me Kabhi Manzil Nahi Milti..
Dil Toot Jaata Hain, Nakaam Hota Hai …
Ulfat Me Yahi Logoun Ka Anjaam Hota hai…

Is Zamane Me,Is Mohabbat Me

Is Zamane Me,Is Mohabbat Me
Kitne Dil Toote,Kitne Ghar Phoonke
Jaane Kyun Log Mohabbat Kiya Karte Hain..
Dil Ke Badle Dard-E-Dil Liya Karte Hain…

Kisi morh pay ham aapko khone nahi denge

Kisi morh pay ham aapko khone nahi denge,
Juda hona chao to bhi nahi hone denge,
*Chandi raton mai aayegi yad meri,
Meri yad ke who pal aapko sone nahi denge,

Pyar maim mout se darta kon hai


Pyar maim mout se darta kon hai,
Pyar ho jata hai karta koun hai,
Aap jaisa yaar dunya pay qurban,
Or aap jaisa yaar milta kha hai....

Dil hi Dil mai ham unhe pyar karte hai

Dil hi Dil mai ham unhe pyar karte hai,
Chup chup ke unki mohabbat ka intezar karte hai,
Jin rahon pay unka chalna mumkin nahi,
UN rahon pay ham unka intezaar karte hai.

Najro se jab najar ka taqrar hota hai

Najro se jab najar ka taqrar hota hai,
Her morh pay Kisi ka intezaar hota hai,
Dil rota hai zakahm haste hai,
Shayad isi ka naam pyar hota hai....

Koi gila nahi koi sikwa Na rahe aap se

Koi gila nahi koi sikwa Na rahe aap se,
Yeh aarjon hai ke silsila rahe aap se,
Bas is bat ki Bari ummed hai aapse,
Kahfa Na hona gar ham khfa rage aap se...

Safar ka kya maza

Yadon ke sath jeene mai kya maja hai,
Khyalo mai pyar kiya to kya kiya,
Her lamha tanha saa hai,
Hamsafar hi sath Na ho to Safar ka kya maza

Chahat ka tune kya sila diya

Chahat ka tune kya sila diya
hasti aankhon ko aab-e-deedah bana(tearful) diya

pyar ka deep dilme jalaa diya
usi aag me phir sabkuch mita diya

pyar ka jabbhi vaasta dila diya
beetey lamho ka tune kimat chuka diya

tere liye khudko itna badal diya
pehchan ne se tune inkaar kar diya

sabkuch jo tere naam kar diya
mohabbat ka tune sauda kar diya

jisne apno k dilme ghar kar diya
sabki nazro me use gunehgar bana diya

wafa karte sab rishthon ko gawa diya
usipe tune bewafai ka daag laga diya

dardo gamh se daaman bhar diya
dilne aaj bhi tujhe bus duwa hai diya

tujhe paane ko kya na kar diya
pal bhar mein tune ‘Ayush’ ko anjaan kar diya…

Thursday, February 18, 2010

DUS KARTE HAIN HUM SAR KO JHUKAYE


DUS KARTE HAIN HUM SAR KO JHUKAYE,
AI DOST TU APNI MANZIL KO PAAYE,
AGAR KABHI TERI RAAHON MEIN ANDHERA CHHAYE,
TOH ROSHNI K LIYE KHUDA MUJHE JALAYE.

Kuchh achchhe log nahi milte


“Kuchh achchhe log nahi milte,
Jise chahte ho wohi kyu nahi milte..

Pasand karne wale bahot milte he,
Kuchh chahanewale kyu nahi milte..

Kuchh majaburia jaroor rahi hogi,
Par usko ko par karnewale kyu nahi milte..

Lamha lamha jod ke banti he jindagi,
Kuchh lamho me jinewale yaar kyu nahi milte..”

Some Of best dard Shayari

Mohabbat Ki Judaai:
Haqiqat Mohabbat Ki Judaai Hoti Hai
Kabhi Kabhi Pyar Main Bewafai Hoti Hai
Humari Taraf Haath Badhaa Kar Toh Dekh
Dosti Main Kitni Sachhai Hoti Hai.

Mohobbat Nibha Nahi Pata:
Kyon koi chah kar mohobbat nibha nahi pata,
Kyon koi chah kar rishta bana nahi pata,
Kyon leti hai zindagi aisi karwat,
Ki koi chah kar bhi pyar jata nahi pata.

Raat bhar Ro Na Sake:
Bikhre Armaano Ke Moti Hum Piro Na Sake
Tere Yaad Mein saari Rat Hum So Na Sake,
Bheeg Na Jai Ansuon Mein Tasveer Teri
Bass Yehi Soch Kar Hum Raat bhar Ro Na Sake.

Doorie Ka Ehsaas:
Tumse Doori ka Ehsaas Sataane Lagaa
Tere Saath Guzaraa Har Lamha Yaad Aane Laga,
Jab Bhi Tujhe Bhoolne ki Koshish ki aye Dost,
Tu Dil ke Aur Bhi Kareeb Aane Laga.

Raatein Gumnaam Hoti Hai:
Raatein gumnaam hoti hai,
Din kisike naam hota hai,
Hum zindagi kuch is tarah jeete hai,
Ki har lamha tere naam hota hai.

Door or Paas:
Tu Dur Hai Mujhse Aur Paas Bhi Hai
Teri Kami Ka Ehsaas Bhi Hai
Dost To Hmare Lakho Hain Is Jahan Me
Par Tu Pyara Bhi Hai Aur Khas Bhi Hai.

Naa woh aa sake naa hum kabhi jaa sake,
Naa dard dil ka kisi ko suna sake.
Bus baithe hai yaadon mein unki,
Naa unhone yaad kiya aur naa hum unko bhula sake.

Kuch khabar nahin hum ko apna ya paraya hai,
Dhoondne ye dil jis ko is gali mein aaya hai
Hum duayein dete hain tum ko phir bhi jan-e-jan
Magar tum ne is dil ko be-panah sataya hai

Mohabbat Ki Judaai:
Haqiqat Mohabbat Ki Judaai Hoti Hai
Kabhi Kabhi Pyar Main Bewafai Hoti Hai
Humari Taraf Haath Badhaa Kar Toh Dekh
Dosti Main Kitni Sachhai Hoti Hai.

Mohobbat Nibha Nahi Pata:
Kyon koi chah kar mohobbat nibha nahi pata,
Kyon koi chah kar rishta bana nahi pata,
Kyon leti hai zindagi aisi karwat,
Ki koi chah kar bhi pyar jata nahi pata.

Raat bhar Ro Na Sake:
Bikhre Armaano Ke Moti Hum Piro Na Sake
Tere Yaad Mein saari Rat Hum So Na Sake,
Bheeg Na Jai Ansuon Mein Tasveer Teri
Bass Yehi Soch Kar Hum Raat bhar Ro Na Sake.

Doorie Ka Ehsaas:
Tumse Doori ka Ehsaas Sataane Lagaa
Tere Saath Guzaraa Har Lamha Yaad Aane Laga,
Jab Bhi Tujhe Bhoolne ki Koshish ki aye Dost,
Tu Dil ke Aur Bhi Kareeb Aane Laga.

Raatein Gumnaam Hoti Hai:
Raatein gumnaam hoti hai,
Din kisike naam hota hai,
Hum zindagi kuch is tarah jeete hai,
Ki har lamha tere naam hota hai.

Door or Paas:
Tu Dur Hai Mujhse Aur Paas Bhi Hai
Teri Kami Ka Ehsaas Bhi Hai
Dost To Hmare Lakho Hain Is Jahan Me
Par Tu Pyara Bhi Hai Aur Khas Bhi Hai.

Naa woh aa sake naa hum kabhi jaa sake,
Naa dard dil ka kisi ko suna sake.
Bus baithe hai yaadon mein unki,
Naa unhone yaad kiya aur naa hum unko bhula sake.

Kuch khabar nahin hum ko apna ya paraya hai,
Dhoondne ye dil jis ko is gali mein aaya hai
Hum duayein dete hain tum ko phir bhi jan-e-jan
Magar tum ne is dil ko be-panah sataya hai

jab nahi pyar to jatati kyon ho



jab nahi pyar to jatati kyon ho,
mere dil ko khud ke karib laati kyon ho,
nahi hai jab mere dard ka ahsaas tumhe,
mujhe har pal itna satati kyon ho…..

jab nahi pyar to jatati kyon ho

jab nahi pyar to jatati kyon ho,
mere dil ko khud ke karib laati kyon ho,
nahi hai jab mere dard ka ahsaas tumhe,
mujhe har pal itna satati kyon ho…..

unke bina mera jina kaise hoga

unke bina mera jina kaise hoga,
unse door mera haal-e-dil kaisa hoga,
jab tak zinda hai saath rhne do unko,
warna unke bina mera marna kaise hoga….

kaash wo aa jaate humare ak baar bulane se

kaash wo aa jaate humare ak baar bulane se,
kaash wo maan jaate humare ak baar manaane se,
ab jab humne odhli hai chaadar mout ki to,
kya fayada hume har baar jagaane se……..

koi to hota jo humare dard ki gahrai tak ja pata

koi to hota jo humare dard ki gahrai tak ja pata,
koi to hota jo humse mil humare dard ko jaan pata,
pahle to har gam hans kar sah liya karte the,
ab to dard bhi aisa hai ki dva dekar bhi hansa nahi jata….

teri adaaon ne kiya is kadar ghayal

arz kiya hai…..
teri adaaon ne kiya is kadar ghayal ke na safar ke rhe na watan ke,,
huye laash ke tukde itne ke na dafan ke rhe na kafan ke…….

jab nahi pyar to jatati kyon ho


jab nahi pyar to jatati kyon ho,
mere dil ko khud ke karib laati kyon ho,
nahi hai jab mere dard ka ahsaas tumhe,
mujhe har pal itna satati kyon ho…..

unke bina mera jina kaise hoga

unke bina mera jina kaise hoga,
unse door mera haal-e-dil kaisa hoga,
jab tak zinda hai saath rhne do unko,
warna unke bina mera marna kaise hoga….

Sard Raat ki msahri me

Sard Raat ki msahri me,
jab adtan mujhko khojti hogi,
apne bahu me takiye ko daba kar,
ausk dhire se pochti hogi,
ausk dhire se ushki ankho se,
jard galo pe dhulkte honge,
kitne betab tamnnao ke,
kafile par utare honge
apne saye se chokne wali,
kaise sama bujhati hogi,
meri baho ke sirhane ke bina,
nind kaise use aati hogi,
mujhko jab nind nhi aati,
kaise mano ki wo bhi soyi hogi..,

Wo akele chal diye aur hum khade rh gaye

Wo akele chal diye aur hum khade rh gaye ,
hr bar ki tarha aasu aj b beh gye ,
hum ne yad kiya unhe her lamha or ,
unhone has ke kaha-yad kiya sbko bs 1 tum hi reh gye .
Hkikato ko smjha kreeb ane k baad ,
smjha mohbat ko DIL lgane k baad ,
mughe apna gum nahi dukh uska hai ,
kon chahega itna usemere jane k baad .
Ajeeb lagti hai shaam kabhi – kabhi ,
zindagi lagti hai bejaan kabhi-kabhi ,
samajh aaye to hame bhi batana ki ,
kyu karti hain yaade paresaan kabhi-kabhi .
Her ek muskurahat muskaan nahin hoti ,
nafrat ho ya mohabbat asaan nahin hoti ,
Aansu gam me bhi hote hain aur khusi me bhi ,
per sabko inki pehchan nahin hoti.

kaash ke humare paas kismat ki syahi hoti


kaash ke humare paas kismat ki syahi hoti,
phir kabhi na kisike kismat mein judai hoti,
na hum rote yun haath utha kar ke,
na hi aaj unhone humare ghar ko aang lagai hoti,
na hi hum unke sitamo ke sataye hote,
nahi hum tang aakar khudko aang lagaai hoti,

yaad mein aapni aankhon se har baar ye aanso girayenge hum


yaad mein aapni aankhon se har baar ye aanso girayenge hum,
tum satao chahe jitna par tujh bin na rah payenge hum,
kahte hai log ki door rhane se chahat badh hi jaati hai,
aap kah to do hum is duniya ko chod chale jayenge hum…….

unke liye mere aansuo ki koi kimat nahi hai


unke liye mere aansuo ki koi kimat nahi hai,
wo kahte the hume aap se koi mohabbat nahi hai,
pachhta rhe hai wo ab bite lamho ko yaad kar-kar ke,
ke aaj humare jism kyon koi harkat nahi hai…….

Dur Na Ja Sakoon Fir say


Dur Na Ja Sakoon Fir say,
Ashkon ki Barsat bha na sakoon fir say,
khamoshi Se Mera Dam Ghutta Hai,
Shayad Na Nibha Sakoon Dosti Fir Say....

Kisi Lutere Ne Nahin-Mujhe To Teri Sadgi Ne Lutliya

Kisi Lutere Ne Nahin-Mujhe To Teri Sadgi Ne Lutliya,
Kisi Waqt Ne Nahin-Mujhe To Tere Intezar Ne Mardiya,
Kisi Khanjar Ne Nahi-Mujhe To Tere Alfazo Ne Zakhmikiya,
Are Ab to Gussa Chhod De – Mujhe Teri Khamoshi Ne Mardiya,.,

Na Umeedain Kisi Se Rakhtey To Acha Hota

Na Umeedain Kisi Se Rakhtey To Acha Hota,
Aitbar Na Kisi Pe Kartey To Acha Hota,
Sabaq Daita Hai Zamana Yeh Auron Ko Giraney Ka,
Sahara Na Kisi Ko samjhtey To Acha Hota,
Yaqeen apni Kamyabi ka kisi Ko Kab Hota Hai,
Taqdeer k Muqabil Na Hotey To Acha Hota,
Sochtey They Aitbar Andha Ho Ga DeWaNa Tum Per,
Na Khuwaab Jagtey Main Daikhtey To Acha Hota,
Na Chahtey Tum Kisi Ko Na Koi Tumheen Poojta,
Na achey Kisi Ko Lagtey To acha Hota,
Darya Mohabbat Ka Kab Koi Paar Karta Hai Dost,
Na Mohabbat Kisi Se Kartey To Acha Hota…

Yeh aankhain bhi ek dariya bahati hain

Yeh aankhain bhi ek dariya bahati hain
Sab jaanti hoon magar phir bhi …
Kyun tumko bhula nahin paati….
Is dil se teri tasveer hata nahin paati….
Muskurane ki koshish karti hoon lekin
Ankhon ke motiyon ko chupa nahin paati…
Jab sochti hoon ki …
Tum ho kisi aur ka muqaddar
Jalan si hoti jise mita nahin paati….
Jab barasta hai saawan toot ke kahin…
Yeh aankhain bhi ek dariya bahati hain….
Sulagti hai rooh teri ek jhalak ko…..
Is khwaaish se main dil ko bacha nahin paati…!!!

Hamari khushi ki khuda se fariyad na karna


Hamari khushi ki khuda se fariyad na karna,
bhula dena mujhako kabhi tum yaad na karna,
Kiya barbaad tu ne mujhe ye meri badnashibi thi
eltajah hai kishi aor ko yu barbad na karna.

Tumhe yaad na kar sa ke

Tumhe yaad na kar sa ke,
Hum bhula bhi na sa ke,
Naam tera jo likha dil pe,
vo mita bhi na sa ke,
juba rakhi band kahi,
naam na le de tera,
is liye bhari mahfil me muskara na sake.

Ab Bund Bund Tapke

Ab Bund Bund Tapke
Meri Aankh Yun Barse

Teri Yaad Jab Bhi Aaye
Jiyaa Piyaa Milan Ko Tarse

Badal Hain Har Su Chaye
Mera Dil Yun Tarsaye

Chupke Se Aakar Koi
Meri YAADOUN Me Samaye

Mera Dil Bhi Dhadkaye
Jab Bund Bund Tapke…..

Thanks & Regards
Mrs Rubina Yasmeen

Na jane kyu ho raha hai is Dil ko

Na jane kyu ho raha hai is Dil ko,
Shaayad fir koi yaad aa raha hai is Dil ko,
Nahi Chahati main fir kuch likhna or sochna,
Par uski yaad hai jo chali aa rahi hai,
Kya ye sach hai ya mera Vaham,
Ki mera Dil jodne wala hi Dil todde ja raha hai mera,
Kyun nahi kahti hu main use sabke samne,
Par akele me wo sabse karib lagta hai mere Dil ke,
Janti hu main kabhi paa nahi sakti usefir bhi,
Kya hoga agar mil jaaye wo mujhe kal ko,
Itna chahata raha jise ye Dil-O-Jaan se,
Par koi to samjhe is khambhakt dil ko,
Na jaane aaj fir kya ho raha hai……………
Ye mujhse behtar is Dil me rehne wala hi jaanta hai………

Dard dil ka ab to sawa ho gaya hai

Dard dil ka ab to sawa ho gaya hai,
Ye meri zindagi mein kya ho gaya hai,

Khali daman ka merey sauda ho gaya hai,
Manga tha tumse tumhari nazar ho gaya hai,
,
Aankhein khuli hain, har khwab so gaya hai,
Ummeed ka savera najaane kahaan kho gaya hai,

Har aas par khushi ka andhera sa chha gaya hai,
Saathi merey ye tujhko kya ho gaya hai,

Har jism musibat ki chakki mein pis gaya hai
Ek tu hi nahin jisey ye marz ho gaya hai

Veeraniyan teri mera naseeb ho gaya hai
Har dard tera meri zindagi ko kha gaya hai

Ye kiski duaon ka sila mujhko mil gaya hai
Ai dost tere haaton har zakhm chhil gaya hai

Ghamey zindagi ka ek baab aur khul gaya hai
‘chaand’ mujhey ek meherbaan aur mil gaya hai…

Iss Duniya mein sab kuch bikta hai

Iss Duniya mein sab kuch bikta hai,
Phir judai hi rishwat kyon nahi leti…
Marta nahi hai koi kisi se juda hokar,
Bas yaadein hi hai joh jeene nahi deti….

Mujhe bhul jaana agar ho sake

Mujhe bhul jaana agar ho sake,
Mat yaad karna agar ho sake,
Rahe yaad kyon bhul jaane ki baat,
Na kabhi aansu bahana agar ho sake,
Mujhe maaf karna mere humsafar,
Kahin kho gaya main tumhe kho kar,
Maine tumhe gam diya hai magar,
Sada muskurana agar ho sake,
Mat yaad karna agar ho sake ..,

Monday, February 15, 2010

Pyar main dhokha khakar hum badnam ho gaye


Pyar main dhokha khakar hum badnam ho gaye
Har gali har chauk par mere charche aam ho gaye
Har baji ki tarah pyar ki baji bhi hara
Bagair chale hi mere kadam bekam ho gaye
Aanshu ke sath-sath mujhe itni to khushi mili
Ki akhbar ki surkhiyon main mere bhi nam ho gaye
Hushn walon ko to koi dosh hi nahi deta
Apne upar hi sare ilzam ho gaye
Gam iss bat ka raha ki un hatho ko mehdi hi mila
Aur ‘Avinash’ ke hatho main chhalkte jam ho gaye .

Akshar khayalo main aaya karte hain

Akshar khayalo main aaya karte hain,
Hotho se chhoo kar jagaya karte hain,
Bada sukun milta hai jab hote hai pas wo,
Sun kar mera hal-E-Dil muskuraya karte hain,
Game-hayat se wo bhi sitam sahi hai magar,
Dard apne dil ka chhupaya karte hain,,
Aarzue bahut hain iss tute dil main,
Hanskar har aarzuo ko bhulaya karte hain,
Khushi ki talash main khud se dur hue iss tarah,
Pochh kar har aks ko mitaya karte hain,
Mohababat pe meri yakin tum sada rakhna,
Khud se hokar khafa ‘Avinash’ wafa tumse nivaya karte hain.....

Aise chup hain ke ye manzil bhi kadi ho jaise

Aise chup hain ke ye manzil bhi kadi ho jaise,
Tera milna bhi judaayi ki ghadi ho jaise,

Apne hi saaye se har dam larz jaataa huun,
Raaste mein koyi diivaar khadi ho jaise,

Manzilein duur bhii hain manzilein nazdeek bhi hain,
Apne hii paaon mein zanjiir padi ho jaise,

Kitne naadaan hain tere bhulaane vaale
ke tujhe,Yaad karne ke liye umr padi ho jaise,

Aaj dil khol ke roye hain to yuun Khush hai Faraz
Chand lamhon ki ye raahat bhi badi ho jaise..

Duniya to meri viran ho gayi

Duniya to meri viran ho gayi,
Mohababat ek jhoothi kahani ho gayi,
Karke jhoothi ijhare mohababat,
Meri janeman to sayani ho gayi,
Har pal unke khayalo main rahta,
Yah pagal dil ki nadani ho gayi,
Unhe dil se kabhi chaha tha hamne,
Wah bat ab purani ho gayi,,
Tanhai main ham tadapte hain aaj bhi,
Magar wo rakibo ki rani ho gayi,
Yah jindgi ham kaise jiye ‘Dost’,
Ab meri jindgi hi begani ho gayi…,

Ai muhabbat tere anjam pe rona aaya

Ai muhabbat tere anjam pe rona aaya,
Jane kyu aaj tere naam pe rona aaya,
Kabhi taqdir ka matam kabhi duniya ka gham,
Manzile ishq mein har mukaam pe rona aaya.....

Baraay-e-naam sahi koi meherban to hai

Baraay-e-naam sahi koi meherban to hai,
Hamare sar pe bhi hone ko aasmaan to hai,

Teri faraakh-dili ko duaaen deta hun,
Mere labon pe tere lams ka nishaan to hai,

Yeh aur baat k woh abb yahan nahin rehta,
Magar yeh us ka basaaya hua makaan to hai,

Ilaawa is k na kuch aur parda rakh mujh se,
Faseel-e-jism mere tere darmiyaan to hai,

Bichharr k zinda nahin reh sakenge hum dono,
Mujhe yeh vehem to hai un ko yeh gumaan to hai,

Saron pe saaya-figan abr-e-aarzu na sahi,
Hamare paas seraabon ka saayabaan to hai,

Gul-e-muraad nahin sung-haaye-tifl sahi,
Ghareeb-e-sheher ka aakhir kisi ko dehaan to hai..

musaafir ke raste badalate rahe

musaafir ke raste badalate rahe
muqaddar mein chalanaa thaa chalate rahe

koii phuul saa haath kaandhe pe thaa
mere paanv sholon pe chalate rahe

mere raaste mein ujaalaa rahaa
diye us kii aankhon ke jalate rahe

vo kyaa thaa jise ham ne Thukaraa diyaa
magar umr bhar haath malate rahe

muhabbat adaavat vafaa berukhii
kiraaye ke ghar the badalate rahe

sunaa hai unhen bhii havaa lag gaii
havaaon ke jo rukh badalate rahe

lipat ke charaagon se vo so gaye
jo phuulon pe karavat badalate rahe

Bheer me charon taraf chehre anjaaney miley


Bheer me charon taraf chehre anjaaney miley,
Mere apney aaj mujhse bankey begaaney miley.

Tha bharosa doston par itna ki mujhse na pooch,
Jinkey hathon me they patthar log pehchaney miley.

Bankey marham waqt hi bharta hai harek zakhm ko,
Jaisey jaisey waqt beeta zakhm pooraney miley.

Kiske aagey rotey aur sunatey apni dastaan,
Basti thi ujri huyee sunsaan thikaney miley.

Ab na maangengey illahi zindagi ki bheekh hum,
Ishq me shama ki ye kehtey huye parwaney miley.

Dil diya tha naaz se jis jis ne apni jaan ko,
Chand tootey dil ke tukre unko nazraney miley.

Maazi ki yaad me sab doobey huye they is qadar,
Khwab tere shahar ke sab log deewane miley.

Ek duje pe martety the


Ek duje pe martety the,
Hum pyar ki baaten karten the,
Khabo me khoye rehtey the,
Baho me soye rehtey the
Hum ashiq the deewane the
Is duniya se beghane tha
Yeh un dino ki baat hey,
Jiab hum pagal pagal phirtey the.
Yeh un dino ki baat hey,
Jiab hum pagal pagal phirtey the..
Phirtey the phirtey the…

Tahai me jab miltey the

Tahai me jab miltey the,
Dil me hulchul si hoty thi;
Hum dono jagtey rehtey the.
Jab sari duniya soty thi,
Jab yaad tumhari aaty thi,
chahat k nagme gatey the,
bechain deewani dhadkan ko.
Behlatey the samjatey the,
Yeh un dino ki baat hey,
Jab hum pagal pagal phirtey the.
Yeh un dino ki baat hey,
Jab hum pagal pagal phirtey the…

Kehtey the kuch suntey the

Kehtey the kuch suntey the;
Hum phul wafa k chumtey the.
Kabhi hastey the kabhi rotey the,
Hum Yaar juda jab hotey the,
Hume sab kuch acha lagta tha,
Afsana sacha lagta tha,
Yeh un dino ki baat hey,
Jab hum pagal pagal phirtey the.
Yeh un dino ki baat hey,
Jab hum pagal pagal phirtey the.

Ek duje pe martety the


Ek duje pe martety the,
Hum pyar ki baaten karten the,
Khabo me khoye rehtey the,
Baho me soye rehtey the
Hum ashiq the deewane the
Is duniya se beghane tha
Yeh un dino ki baat hey,
Jab hum pagal pagal phirtey the.
Yeh un dino ki baat hey,
Jiab hum pagal pagal phirtey the..

Mujhe bhul jaana agar ho sake

Mujhe bhul jaana agar ho sake,
Mat yaad karna agar ho sake,
Rahe yaad kyon bhul jaane ki baat,
Na kabhi aansu bahana agar ho sake,
Mujhe maaf karna mere humsafar,
Kahin kho gaya main tumhe kho kar,
Maine tumhe gam diya hai magar,
Sada muskurana agar ho sake,
Mat yaad karna agar ho sake ........

Tere gamo ne yun kaid kar rakha hai humko

Tere gamo ne yun kaid kar rakha hai humko,
ke hawaon se bhi door kar rakha hai humko,
tadapta main yahaan bhi hoon tere didar ke liye,
na jaane kabse kabr main dafan kar rakha hai humko……

Mere marne ke waqt khada mere samne woh tha

Mere marne ke waqt khada mere samne woh tha,
mere mar jane ke karan ka gawah bhi wah tha,
log puchhte usse hi hai meri mout ka karan,
wah batata bhi to kaise joki mere marne ki wajah bhi wah tha…

Nabz Abi Thami nahi abi Kuch Sans Baki Hai

Nabz Abi Thami nahi abi Kuch Sans Baki Hai.
Ab-v Unki ane Ki aas Baki hai.
Aisee nahi Nikle Ga mera Dam Mere Dost.
Abi Un se Mulaqat Baki hai…

Wo ayenge gar pr mere

Wo ayenge gar pr mere,
sun k mout ki kabr meri,
yaro zara kafan hata dena,
kamaskam deedar tho hoga myyat ko meri.
Dek k agar wo ro dhe tho utha dena,
agar kamosh rahe tho chera chupa dena,
humse agar wo krti hai mohabbt tho izhar wo karegi,
agar na kare izar tho beshrm ko dak k mar k hakaal dena..

Me duba tho kinare pe khadi thi dunia

Me duba tho kinare pe khadi thi dunia,
Hasne walo me mera mukadar b shamil tha,
Ro raha tho jo Janaze se lipat kar mere,
kaise keh dhoo k wahi mera katil tha!

Nakaam mohabat ka bhi afsaana hoga

Nakaam mohabat ka bhi afsaana hoga,
sache pyar ka b harzana hoga,
apne aankho se dekh lena Zalim,
teri “DOLI” se khubsurat mera “JANAZA” hoga…

Mouth k baad yaad aa raha hai koi

Mouth k baad yaad aa raha hai koi,
Meri kabr se mitti utha raha hai koi,
Aye Khudha do pal ki zindagi aur dede,
Meri kabr se udaas ja raha hai koi…

Rulane wale akhir hume rula denge

Rulane wale akhir hume rula denge,
zehar de k gehri neend sula denge,
fir b koi gam na hoga hume,
dard tho tab hoga jab app hame
sath chor ne ko kehenge…

Aaj kareeb se guzar kr gayi hai

Aaj kareeb se guzar kr gayi hai,
Andaaz be nam kr gayi hai,
Maiyat pe meri ruk kr anjaan ban gayi hai,
poochthi hai logo se
ye kis ki maiyat sajayi gayi hai,

Tamannao me Uljhaya Gaya hoon

Tamannao me Uljhaya Gaya hoon,
khilone de k behlaya gaya hoon,
Kafan me kyun na Jaun muh chupa k,
Bhari mehfil me Utaya Gaya hoon…

Mana k kal hum akele reh gaye

Mana k kal hum akele reh gaye,
judai k aansu ankho se beh gaye,
rothe hue ko koun chup karayega,
jo chup karathe the wo hi aaj chup hogaye.!

Tum Karoge yaad ek din is pyar ke zamane ko

Tum Karoge yaad ek din is pyar ke zamane ko,
Chale jayenge jab hum kabhi na vaapas aane ko.
Karega mehfil me jab zikr hamara koi,,,,
To tum bhi tanhayi dhundoge aansu bahane ko…

Vaade Pe Woh Aitbaar Nahi Karte

Vaade Pe Woh Aitbaar Nahi Karte
Hum Zikr-E-Mohabbat Sare Bazaar Nahi Karte
Darta Hai Dil Unki Ruswai Se
Aur Woh Sochte Hai Hum Unse Pyaar Nahi Karte..

Ab Zindagi Ka Koi Sahara Nahi Hai

Ab Zindagi Ka Koi Sahara Nahi Hai,
Iss Jahan Mein Koi Hamara Nahi Hai,
Chua Unka Daaman Toh Woh Haskar Bole,
Yeh Mohabbat Ka Daaman Tumhara Nahi Hai..

Gham-E-Hayaat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi

Gham-E-Hayaat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi
Chale Aoo Duniya Se Ja Raha Hai Koi

Azal Se Keh Do Ruk Jayee Do Ghari
Suna Hai Aane Ka Wada Nibha Raha Hai Koi

Wo Is Naaz Se Bethe Hain Laash K Pass
Jese Ruthay Hoe Ko Mana Raha Hai Koi

Palat Kar Na Aa Jayen Phir Saans
Itnay Haseen Hathon Se Mayyat Saja Raha Hai Ko

Har raahi ko mann chaha mukaam nahi milta


Har raahi ko mann chaha mukaam nahi milta,
Jisko jee bhar pyaar kar sake wo insaan nahi milta,
Aasma k sitaro ki tarah hamare armaan bhi bikhrte rehte hai,
Jo apne dil mein hamein jagah de sake wo meharbaan nahi milta…

KISI KI YAADON NE PAGAL BANA RAKHA HAI

KISI KI YAADON NE PAGAL BANA RAKHA HAI…
KAHI MAR NA JAO..KAFAN SILA RAKHA HAI…
DAFNA NE SE PEHLE DIL NIKAL LENA…
KAHI VO NA DAFAN HO JAE …
JISE DIL MEI BASA RAKHA HAI…

Paane Se Khone Ka Maaza Aur Hai


Paane Se Khone Ka Maaza Aur Hai,
Bandh Aankho Se Dekhne Ka Maaza Aur Hai,
Aansoo Bane Lafz Aur Lafz Bane Gazal,
Yaadon Ke Saath Jeene Ka Maaza Aur Hai..

Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyu Nahi Dete

Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyu Nahi Dete,
Jo Jaa Chuka Hai Us Ko Bhula Kyu Nahi Dete,
Mujrim Hoon Main Tera Mujhe Itna To Bata,
Khamosh Khade Hu Saza Kyon Nahi Dete,
Use Jis Ke Zakham Hai Inaayat Teri,
Gar Hai Tumhare Paas To Dawa Kyu Nahi Dete...

Apni bebasi par aaj rona aya

Apni bebasi par aaj rona aya,
Dusron ko nahi main ne apno ko aazmaya,
Har dost ki tanhai dur ki,
Lekin khudh ko har morh par tanha paya…

Some Interesting News

Share Your Shayari With Blog

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...