Saturday, February 20, 2010

Unke pyar ne hame iss kadar diwana bana diya

Unke pyar ne hame iss kadar diwana bana diya
Khud ko bhul gaya, mujhe khud se begana bana diya
Jab se wo chale gaye hamse juda hokar
Dekhne ki hasrat rah gayi, mujhe aisa aaina bana diya
Najar nahi aata iss gam ke dhue main kuchh bhi
Tadap gaya raushni ke liye mujhe aisa parwana bana diya
Log kahte hain dard kam hota hai sharab pine se
Jaha dard hi dard hai mere jivan ko aisa sharab khana bana diya
Manjil hai kaha hame kya pata
Har cheej se bekhabar mujhe ‘Anjana’ Bana diya.

0 comments:

Some Interesting News

Share Your Shayari With Blog

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...