Saturday, February 20, 2010

Chahat ka tune kya sila diya

Chahat ka tune kya sila diya
hasti aankhon ko aab-e-deedah bana(tearful) diya

pyar ka deep dilme jalaa diya
usi aag me phir sabkuch mita diya

pyar ka jabbhi vaasta dila diya
beetey lamho ka tune kimat chuka diya

tere liye khudko itna badal diya
pehchan ne se tune inkaar kar diya

sabkuch jo tere naam kar diya
mohabbat ka tune sauda kar diya

jisne apno k dilme ghar kar diya
sabki nazro me use gunehgar bana diya

wafa karte sab rishthon ko gawa diya
usipe tune bewafai ka daag laga diya

dardo gamh se daaman bhar diya
dilne aaj bhi tujhe bus duwa hai diya

tujhe paane ko kya na kar diya
pal bhar mein tune ‘Ayush’ ko anjaan kar diya…

0 comments:

Some Interesting News

Share Your Shayari With Blog

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...