Saturday, February 20, 2010

cchhota sa aashiyana

chhota sa aashiyana
Barbad ho gaya hai tera jo tha diwana
Khwabon main aa bhi jao haqiqat main ab na aana
Tum bhi basa lo apna koi naya gharana
Barbadiyo ka un par aisa hua asar hai
Aankho main koi sapna, na hotho par koi gana
Bas sawal hi milega daman main uske ab to
sadiyon tak raha jo phoolon ka hi khajana
Aisi na kismat likhna ab tu kisi ki “Avinash’
Ghut-ghut kar ji raha hai tera hi ab diwana.

0 comments:

Some Interesting News

Share Your Shayari With Blog

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...