Saturday, February 13, 2010

Nazron ko nazaron ki kami nahi hoti

Nazron ko nazaron ki kami nahi hoti,
phulon ko baharon ki kami nahi hoti,
fir kyu hume yad karoge Aap,
Aap toh Aasman Ho aur
Asman Ko Sitaron ki kami Nahi Hoti.

Meri barbadi par tu koi malal na karna

Meri barbadi par tu koi malal na karna,
bhul jana mera khyal na karna,
hum teri khusi k liye kafan ODH lenge,
pr tu meri laash se koi sawal na karna…

Kisi din teri nazro se dur ho jayenge hum


Kisi din teri nazro se dur ho jayenge hum,
Dur fizaon me kahi kho jayenge hum.
Meri yaadon se lipat ke rone aaoge tum,
jab zameen ko odh ke so jayenge hum…

mere pyaar ko uska pyaar mile

mere pyaar ko uska pyaar mile,
main barbaad sahi wo aabad mile,
likh de mere hisse me usske saare gam,
par wo khushaal mile,
agr gujre wo meri gali se kabhi to,
roshni ke liye jalta mera ghar mile…

Aaj bahut din baad suni hai baarish ki awaaz

Aaj bahut din baad suni hai baarish ki awaaz
Aaj bohut din baad kisi manzar ne rasta roka hai
Rhim jhim ka malboos pehan kar yaad kissi ki aaee hai
Aaj bahut din baad achanak aankh yun he bhar aaee hai..

aaj us ko bekhabar socha bohat

aaj us ko bekhabar socha bohat
kese kaatein ge safar socha bohat
aaj kal hum us ko soochein ge nahi
aaj tanha beth ker socha bohat..

Thukra ke usne mujhko

Thukra ke usne mujhko,
kaha ki muskuraao!
Maine has diya,
aakhir sawal uski khushi ka tha.
Maine khoya woh jo mera tha hi nahi,
Usne khoya wo jo sirf usi ka tha.

Dil Nahi Chahta Mera Hansne Ko Israar Na Kar

Dil Nahi Chahta Mera Hansne Ko Israar Na Kar
Aansoo Bhi Toone Diye Chahe To Iqraar Na Kar

Ab To Dil Chahta Hai Din Raat Andhero Me Rahu
Roshni Jhoonth Ki Dekar Mujhe Bezaar Na Kar

Ujdhe Ujdhe Se Manzar Ko Kaha Tak Dekhu
Neend Aankho Mein Bhari Hai Mujhe Bedaar Na Kar

Kaun Baitha Hai Meri Raah Take Yaad Kare
Jaake Ab Kiss Se Kahu Mera Intezaar Na Kar

Saans Ka Boojh Uthaaoo Ya Usse Samjhaaoo
Zinda Rehne Ki Dua De Kar Sharam Sar Na Kar…..

Jaate jaate vo mujhe achchhi nishani de gaya


Jaate jaate vo mujhe achchhi nishani de gaya,
Umr bhar dohraunga aisi kahani de gaya,

Uss se main kuchh pa saku aisi kahan ummeed thi,
Gham bhi vo shaayad baraaye meharbani de gaya,

Sab hawaye le gaya mere samandar ki koi,
Aur mujhko ek kashti baadbaani de gaya,

Khair main pyasa rahi, par usne itna to kiya,
Meri palko ki qataro ko vo paani de gaya..,

Tujhe Mohabbat Sikhane Me Nakam Rhe Hum

Tujhe Mohabbat Sikhane Me Nakam Rhe Hum.
Jo Chalka Na Paymane Se Wo Jaam Rhe Hum.
Na Puch Kya Gujri Mere Dil Pr Aye Sanam.
Jb Wafa Nibha Kr Bhi Badnaam Rhe Hum …

Jaan kar bhi woh mujhe jaan na paiye

Jaan kar bhi woh mujhe jaan na paiye ,
Aaj tak woh mujhe pehchan na paiye ,

Khud hi karli bewafai hum ne doston,
ta-keh un par koi ilzaam na aaye … …

Tumhen bhuulane ki mai koshish karunga


Chaman ki bahaaron mein tha aashiyana ,
Na jaane kahan kho gaya vo zamana ,

Tumhen bhuulane ki mai koshish karunga ,
Ye vaada karo ke na tum yaad ana ,

Mujhe mere mitne ka gam hai to ye hai ,
Tumhen bevafaa kah raha hai zamana ,

Khud meri qabr pe tum na aana ,
Tumhen dekh kar shaq karega zamana…

aisi kismat kahan humari

aisi kismat kahan humari,
ki didar-e-yar ho jata,
Agar main or jeeta to,
wo bhi tera intzar ho jata..

Saza dene wale Raza poochte hai

Saza dene wale Raza poochte hai,
Jeene ki Humse Waja poochte hai,
Dete hai khud hi Zehar akar,
Phr kitna hua asar pooochte hai..

Valentines Day Special-bhoole hain wo kuch is tarahan se hame

bhoole hain wo kuch is tarahan se hame.
Ab intezar karna hmara naseeb ho gaya hey
Na jane koi khata ho gai humse
Ya koi aur un k qareeb hogaya hey…

Valentines Day Special-Aankhon Ko Ho Sakay To Zara Ashkbaar Rakh

Aankhon Ko Ho Sakay To Zara Ashkbaar Rakh
Paiwastah Rah Shajar Se Ummeed-E-Bahar Rakh

Gham Se Jo Hai T-Alluq Usay Ustwaar Rakh
Rakhna Hi Hai Agar To Dil-E-Sogwaar Rakh..

Bikhri hui zulfoon ko apni pehchan bana lo

Bikhri hui zulfoon ko apni pehchan bana lo,
rakhna hai mujhe qaid to zanjeer bana lo,
kaagaz pe lakeerain to boht kheench li tumne,
ab sab ko mila kar meri tasveer bana lo…

Valentines Day Special-Tum apna naam na likho

Dil udhaas hai bahut koyi paigaam hi likh do,
Tum apna naam na likho, gum-naam hi likh do,
Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin,
Tamaam umr na likho magar ek shaam hi likh do…

Valentines Day Special-Chehre ki hasi se har gam ko mitado

Chehre ki hasi se har gam ko mitado..
bahut kam bolo par.. sab kuch bata do..
khud na rutho.. par sab ko manao..
ye raaz hai zindagi ka.. bas ji ke dikha do..

Valentines Day Special-Mujh Pe Teri Chahat Ka Ilzam Hua Kare


Kahin Qudrat Ka Ye Nizam Hua Kare,
Tujhe Dekhne Ke Siva Na Mujhe Koi Kam Hua Kare,

Charcha Ho Saare Shehar Mein Tere Mere Pyar Ka,
Mujh Pe Teri Chahat Ka Ilzam Hua Kare..

Valentines Day Special-Dukh Dard Kay Maaron Say Mera Zikar Na Karna?


Dukh Dard Kay Maaron Say Mera Zikar Na Karna?
Ghar Jao Toh Yaaron Say Mera Zikar Na Karna?

Woh Zabt Na Kar Paayein Gi Aankhon Kay Samandar?
Tum Raah Guzaaron Say Mera Zikar Na Karna?

Phoolon Kay Nasheman Mein Raha Hoon Mein Sadaa Say?
Daikho Kabhi Khaaron Say Mera Zikar Na Karna?

Shayed Yeh Andheray Hi Mujhe Raah Dikhayein?
Ab Chand Sitaaron Say Mera Zikar Na Karna?

Woh Meri Kahani Ko Ghalat Rung Na Day Dein?
Afsana Nigaaron Say Mera Zikar Na Karna?

Shayed Woh Meray Haal Pay Be-Sakhta Ro Dein?
Is Baar Bahaaron Say Mera Zikar Na Karna?

Lay Jaayein Gi Gehraai Mein Tum Ko Bhi Baha Kar?
Darya Kay Kinaron Say Mera Zikar Na Karna?

Woh Shakhs Milay Toh Usay Har Baat Batana?
Tum Sirf Ishaaron Say Mera Zikar Na Karna? Anwar

Valentines Day Special-Kaash ye dil sheeshe ka bana hota

Kaash ye dil sheeshe ka bana hota,
Chot lagti to beshak ye fanaa hota,
Par jab vo sunte sadaa iss dil ki,
Ya khuda tab to unhe ehsaas-e-dil gunah hota.

Valentines Day Special-Mohabbat mujhe thi usi se

Mohabbat mujhe thi usi se,
Yaadon mein uski tadapta raha,
Maut bhi meri chahat ko rok na saki,
Kabar mein bhi ye dil dhadkta raha.

Valentines Day Special-Sunaa dete jo haal-e-dil apna

Sunaa dete jo haal-e-dil apna,
Daava hai un aankhon mein nami nahi aati,
Hota jo itna hi khyal unko mere dard ka,
To aaj hamein unki bewafai na sataati.

ZinDaGi SaY YeHi GiLa HaY MuJhAy -Valentines Day Special


ZinDaGi SaY YeHi GiLa HaY MuJhAy,
TU Badi DaiR Say MiLa HaY MuJhAy,


zindagi aa tujhe qaatil k hawaale kardun…
mujhse ab khoone tamanna nahi dekha jaata…….


Zindagi Ki Raah Me Khud Ko Akela Mat Samajhna doston
Aur Bhi Bohot Hain Jo Is Shor o Ghol Me Tanha Hain…

Aaj tak bandhi hai uske aane ki ummeed-Valentines Day Special


Aaj tak bandhi hai uske aane ki ummeed,
aaj tak thehri hui hai zindagi apni jagah,
laakh ye chaaha ki usko bhool jaun par doston,
Hausle apni jagah hai bebasi apni jagah…..

meri zindagi ab aisy-Valentines Day Special

Kaash ye mukhtasar si mulakat hi naa hoti
gar na ashna hi rehtay,tu phir ye bat bhi na hoti

jo na dekhtay tum mujhko, yoon nazar bacha bacha kar
meri zindagi ab aisy, andhery raat bhi na hoti…

Socha tha saath mill kar katainge zindagi ko

Socha tha saath mill kar katainge zindagi ko,
oss ne to ek pal main har baat bhula di thi,

kaisa sitam hai deikho wo kab se judah hai muje se,
jis ki zindagi apne sayae se bana di thi…

Sukhe Paton Ki Tarah Ek Din Hum Bikhar Jayenge

Sukhe Paton Ki Tarah Ek Din Hum Bikhar Jayenge,
Na Chahoge Phir Bhi Hum Tumhe Yaad Aayenge,
Vaada Karte Hai Sanam Tumse Bichadne Ke Baad,
Agar Tum Udas Rahoge Toh Hum Jee Na Peyenge...

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.

Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,

Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi…..

Roz Milne Ki Kasam Humko Dete The

Roz Milne Ki Kasam Humko Dete The,
Hum Unki Har Zid Ko Seene Se Lagate Gaye.

Unki Aankho Ko Dekhe Tamanna Hamari Bhi Hoti Thi,
Hardam Bas Is Majboori Ka Fayda Wo Uthate Gaye.

Ab Kaise Kare Is Zamane Par Yakeen Hum doston,
Jo Apne Bahut Khaas The Wo Hi Rulate Gaye.

Ek Wo Bhi Daur Tha Ke Hamari Zara Si Aah Par Gamgeen Ho Jati Thi Wo,
Pata Nahi Ab Kyu Apni Har Wo Bhulate Gaye.

Barso Se Apna Maan Liya Tha Unko Humne,
Fir Beech Majdhar Me Humko Wo Bahate Gaye…

Hum Kitne Naadan The Ki Unke Pass Jaate Gaye



Mujhe Zindagi Bhar Rulate Gaye Mere Dil Ko Jalaate Gaye,
Hum Kitne Unki Baato Me Aate Gaye.

Bulate The Tanhai Me Apne Matlab Ke Liye Hume,
Hum Kitne Naadan The Ki Unke Pass Jaate Gaye.

Woh Poochta hi raha har falsafe ke mayne

Woh Poochta hi raha har falsafe ke mayne
Zindagiii bahut samajhdar hai,
Sab kuch loot liye us katil nigah ne,
Aastin uski abhi bhi be daag hai…

Apni Zindagi ki her Shaam Tere Naam kardoon

Apni Zindagi ki her Shaam Tere Naam kardoon,
Teri hi Aankhon ka Jaam Tere Naam kardoon,

Main Doob jaoon Teri in Jheel si Gehri Aankhon mai,
Phir apni Barbadi ka ilzam Tere Naam kar doon,

Mai apni Rooh ko Tere Wajood mai bhardoon,
Phir apni Zaat apna her Payam Tere Naam kardoon.

Mohabbat har insan koAzmati hai

Mohabbat har insan koAzmati hai,
Kisi se Ruth jati hai To kisi pe Muskurti hai
Mohabbat khel hi Aisa hai,
kisi ka kuch nhi jata or kisi ki Jaan Chali Jati hai..

ye umar dheerey dherey ab dhalne lagi hain


ye umar dheerey dherey ab dhalne lagi hain…
gham ki andhiyaan bhi chalne lagi hain…

tu to naraaj hoke na jaane kahaan chala gaya …
intjaar mein khawahishein meri marne lagi hain…

pyaasa hai dil aaj bhi tu samjhta kyun nahi…
ke aaja abto ye baahein thakne lagi hain…

dekhe tujhe abto ek arsa beet gaya….
is nigaahon ki aarju or badhne lagi hain…

kar chuka hai qatal mujhe to tu kabka…
mere saath kitni maiyatein jalne lagi hain…

pata hai tujhe hai gumaan apne pyaar par…
abto tere bin meri raatein katne lagi hain..

ho chuki inteha ab to laut aa jaalim..
ke aaja abto meri saanse thamne lagi hain..

Wednesday, February 10, 2010

Har Dum Karoon Yaad Tujhe Duaon Main



Har Dum Karoon Yaad Tujhe Duaon Main,
Tu Sada Khush Rahe Mohabbat Ki Chhaon Main,
Izzat Ho Teri Sab Ki Nigahon Main,
Koi Gham Na Mile Tujhe Zindagi Ki Rahon Main !!

Shaam din ko dalhna Sikha daiti hy


Shaam din ko dalhna Sikha daiti hy
Shama Parwany ko jalna sikha daiti hy
Girny sy Choot tu lagti hy mager
Thokrain Insan ko Chalna sikha daiti hy..

indagi qed-e-musalsal ke siwa kuch bhi nahi

Zindagi qed-e-musalsal ke siwa kuch bhi nahi
Kiya tha jurm- e -wafa is k siwa kuch bhi nahi

Jeene ki aarzoo me roz mar rahey hain
Daawa teri muhabbat ke siwa kuch bhi nahi

Aaj mera muskurane ka mann nahin tha

Aaj mera muskurane ka mann nahin tha
Kisi se itni mohabbat kar baitha iss ka koi gham nahin tha
Tere ishq mein khud ko kuch iss qadar bhula diya hum ne
Ki teri bewafaai ka dard bhi kuch kam nahin tha..

Har ik sawaal ka us ko jawaab kya deta

Har ik sawaal ka us ko jawaab kya deta,
Main apni zaat ka usko hisaab kya deta,
Jo aik lafz ki khushboo na rakh saka mehfooz,
Main us ke haath main poori kitaab kiya deta…

Apne gamo ki yu numaish na kar

Apne gamo ki yu numaish na kar,
Apne nasib ki yu aazmaish na kar,
Jo tera hai tere dar pe khud ayega,
Roz roz use pane ki khwaish na kar!

Bichda hai jo ek baar use milte nahi dekha

Bichda hai jo ek baar use milte nahi dekha,
Is jakhm ko humne kabhi silte nahi dekha,
Jis bhi chaman ne ki bahar ki khwaish,
Unme koi phool kabhi khilte nahi dekha,
Patjhad me un shakhon se patte juda huye,
Aandhiyo me bhi jinko kabhi hilte nahi dekha…

Zakham Itne Gahre the Ki Ezhaar Kya Karthe

Zakham Itne Gahre the Ki Ezhaar Kya Karthe
Hum Khudh He Nishana Ban Gaye Kisi Pe Waar Kya karthe,
Marne Ke Baad Bhi Khuli Rahi Aankhe,
Aab Tum he Batao Iss Se Zayada Intezar kya Karthe…

Ghum Ki Barish Ne Bhi Tere Naqsh Ko Dhoya Nahin

Ghum Ki Barish Ne Bhi Tere Naqsh Ko Dhoya Nahin
Tu Ne Mujh Ko Khoo Diya, Meine Tujhe Khoya Nahin

Jaanta Hoon Ek Aisay Shakhs Ko Mein Bhi
Ghum Se Pathar Ho Gaya Lekin Kabhi Rooya Nahin…

Din khuch ese guzarta hai koi

Din khuch ese guzarta hai koi,
Jese ehsaan utarta hai koi,

Aaina dekh kar tasalli hui,
Humko is ghar mein jaanta hai koi,

Pak gaya hai shajar pe phal shayad,
Phir se patthar uchalta hai koi,

Der se gunjtey hain sannatey,
Jese hamko pukarta hai koi....

Wo siwa yaad aae bhulane k baad

Wo siwa yaad aae bhulane k baad
Zindagi badh gai zeher khane k baad

Roshni k liye ghar jalana padha
aesi zulmat badhi tere jaane k baad


————————
Muje yaqiin to nahi magar yehi such hai…
k main tere waste umrein guzaar sakta hoon…
aisa nahi ke tujhe jit ne ki khwahish hai…
me tere wasate khood ko bhi haar sakta hoon..

ajnabi shahar hai yeh, dost banaate rahiye


baat kam kiijiye, zahaanat ko chhupaate rahiye
ajnabi shahar hai yeh, dost banaate rahiye

dushmanii laakh sahii, khatm na kiijiye rishta
dil mile yaa na mile haath milaate rahiye

ye to chehre ka faqat aks hai tasviir nahiiN
is pe kuchh rang abhi aur chaDhaate rahiye

Gham hai aavaaraa akele meN bhaTak jaataa hai
jis jagah rahiye vahaaN milte milaate rahiye

jaane kab chaaNd bikhar jaaye ghane jangal meN
apne ghar ke dar-o-diivaar sajaate rahiye

Wo ek dost jo mujhko KHUDA sa lagta hai

Wo ek dost jo mujhko KHUDA sa lagta hai
bahut kareeb hai phir bhi juda sa lagta hai

NaKhuda Saath hai phir bhi humen saahil na mila
Naseeb humara humsee khafa sa lagta hai

Saari khushiyaan hui haasil hume Zamane ki
phir bhi dil main to koi ghum chupa sa lagta hai
Woh Aik Dost Jo Mujko Khuda” sa lagta hai

koi jab do dilo ke darmian nahin doori
jism ka jism se kyon faslaa sa lagta hai

wo bat bat mein mera rooth sa jana


Mujh ko yaad hai ab bhi wo chaht ka zmana
wo tera dorty hue meri taraf chaly ana

wo mujh ko dekh kar tere hotoin per muskuraht ka jhilmilana
wo meri bahon mai aa kar tera mujh mai sama jana

wo bat bat mein mera rooth sa jana
wo itny piyar sey tera mujh ko mnana

wo raat raat bhar jaag ker mere sar ko dabana
wo piyar sey mujh ko janu bulana

wo tera mery ishq mai doob jana
wo tery haaton ki mehndi mai mery naam ka jhilmilana

kya tum ko yaad nahi chahat ka wo zamana
bahut muskil hoga mujh ko bhulana.

Abhi To Ishq Main Aisa Bhi Haal Hona Hai

Abhi To Ishq Main Aisa Bhi Haal Hona Hai
K Ashq Rokna Tum Se Mohaal Hona Hai

Har Aik Lab Pe Hai Meri Wafa K Afsanay
Tere Sitaam Ko Abhi Mahsoor Hona Hai

Tumhain Khabar Hi Nahin Tum To Loot Jaoo Gey
Tumharay Yaad Main Ek Lamha Bhi Saal Hona Hai

Tujhe Jab Bhi Koi Gum Sataye Mere Sanam
Mujko Tere Pyaar Ki Dhaal Hona Hai

Kabhi To Roye Ga Woh Bhi Kisi Ki Bhahoon Main
Yaad Aaon Tab Bhi, Esha Mujhe Lajawab Hona Hai

Milayge Hum Ko Bhi Apne Naseeb Ki Khushiyaan
Bas Intizaar Hai Kab Yeh Kamaal Hona Hai

Har Shaks Chalayga Meri Rahon Per
Mohabatoon Main Humahin Woh Misaal Hona Hai

Yaqeen Hai Mujh Ko Woh Lout Aye Ga
Usay Bhi Apne Kiye Ka Malal Hona Hai……

Apna Be Dard MujhKo Mere Razdar De

Apna Be Dard MujhKo Mere Razdar De..
Kuch Apni Zindagi Pe Mujhe Ikhtiar De..
Esa Na Ho Ke Kal Tu Mera Sath Chor De..
Jitna Nibha Ske Mujhe Utna Hi Pyar De..

Jis per hamari aankh ne moti bichaaye raat bhar

Jis per hamari aankh ne moti bichaaye raat bhar
Bhaija wohi kaaghaz usay, ham ne likha kuch bhi nahi
do chaar din ki baat hai dil khaak mai so jaaye ga
jab aag per kaaghaz rakha baaqi bacha kuch bhi nahi….

Raat ki tanhai mein unko awaaz diya karte hain

Raat ki tanhai mein unko awaaz diya karte hain
Raat mein sitaaron se unka zikre kiya karte hain
Woh ayen ya na ayen humare khwabon mein
Hum toh bus unhi ka intezaar kiya karte hain

saanse bhi chubti hai

saanse bhi chubti hai,
or dil bhi rota hai,
uss bewafaa pe ye deewana aaj bhi marta hai,
duri uski mujhe aaj bhi sataati hai,
uske diye jakhm ke nisaan aaj bhi baaki hai,




Yaadon Ke Dhund Me Teri Parchhayi Si Lagti Hai,
Sannate Me Gunjti Koi Shehnaayi Si Lagti Hai,
Tu Hai Dil Me To Apnapan Sa Lagta Hai,
Warna Seene Me Saanse Bhi Praayi Si Lagti Hai

Yeh sach hai un se nigahain kabhi mila na sakay

Yeh sach hai un se nigahain kabhi mila na sakay,
hum un ki yaad ko lekin kabhi bhula na sakay,

Woh khush naseeb sahi,tujh se jo qareeb hain,
hum budnaseeb hain jo ghum se dur jaa na sakay,

Chah ker chandni bhi us husn ko pohanch na sakee,
nikhar ke phool bhi us ka shabaab laa na sakay,

Qaid-e-ghum main bhi yeh aansu khushi ke qasid hain,
jo un ke deedar ke doraan hum chuppa na sakay,

Hazar Gardish-e-doraan ke saath khail chukkay,
magar tumharee nazar ka mizaaj paa na sakay,

jhijak jhijak ker nazar un ke dil tak aa pohanchii,
yeh woh safar hai ke Hussaini jise bhula na sakay....

Apni tanhai ka aalm tujh ko batau kaise

Apni tanhai ka aalm tujh ko batau kaise
apni barson ki tadap chupaon kaise

raha na jaye mujh tere bin ab
main apne dill ko samajhau kaise

najane kasi kashish hai tujh main
main apne jazbat ko rok pau kaise

najne kaisi aas hai tujh se
main apni umeedon ko rok pau kaise

bara dilnashi hai ahsas tera
main is ahsas se bahar aon kaise

pata nahi kaisa he ye diwanapan
main apni diwangi ko rok pau kaise

bare pyar se sajaya hai sapna ye apna
main apne in sapnoo ko tor pau kaise

main yahan tu wahan
main apne ap ko smbhal pau kaise..

Hum to yun apni zindagi se mile

Hum to yun apni zindagi se mile,
Ajnabi jaise ajnabi se mile,

Har wafa aik jurm ho goya,
Dost kuch waise berukhi se mile,

Phool hi phool hum ne mange the,
Daag hi daag zindagi se mile,

Hum to yun apni zindagi se mile,
Ajnabi jaise ajnabi se mile..

Koi Dikha kar roye

Koi Dikha kar roye, koi chipa kar roye
Hame rulane wale hame rula kar roye
marne me maja to tab hai
Jab katil khud janaje par aakar roye..

Tum Karoge yaad ek din is pyar ke zamane ko

Tum Karoge yaad ek din is pyar ke zamane ko,
Chale jayenge jab hum kabhi na vaapas aane ko.
Karega mehfil me jab zikr hamara koi,,,,
To tum bhi tanhayi dhundoge aansu bahane ko…

Vaade Pe Woh Aitbaar Nahi Karte

Vaade Pe Woh Aitbaar Nahi Karte
Hum Zikr-E-Mohabbat Sare Bazaar Nahi Karte
Darta Hai Dil Unki Ruswai Se
Aur Woh Sochte Hai Hum Unse Pyaar Nahi Karte..

Ab Zindagi Ka Koi Sahara Nahi Hai

Ab Zindagi Ka Koi Sahara Nahi Hai,
Iss Jahan Mein Koi Hamara Nahi Hai,
Chua Unka Daaman Toh Woh Haskar Bole,
Yeh Mohabbat Ka Daaman Tumhara Nahi Hai..

Us ajnabi ka youn na intezaar karo

Us ajnabi ka youn na intezaar karo,
Is aashiq dil ka na aitbaar karo,
Roz nikla karen kisi ke yaad mein aanso,
Itna kabhi na kisi se pyaar karo…

Palat Kar Na Aa Jayen Phir Saans

Gham-E-Hayaat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi,
Chale Aoo Duniya Se Ja Raha Hai Koi,

Azal Se Keh Do Ruk Jayee Do Ghari,
Suna Hai Aane Ka Wada Nibha Raha Hai Koi,

Wo Is Naaz Se Bethe Hain Laash K Pass,
Jese Ruthay Hoe Ko Mana Raha Hai Koi,

Palat Kar Na Aa Jayen Phir Saans,
Itnay Haseen Hathon Se Mayyat Saja Raha Hai Ko..

mukaam nahi milta

Har raahi ko mann chaha mukaam nahi milta,
Jisko jee bhar pyaar kar sake wo insaan nahi milta,
Aasma k sitaro ki tarah hamare armaan bhi bikhrte rehte hai,
Jo apne dil mein hamein jagah de sake wo meharbaan nahi milta…

KISI KI YAADON NE PAGAL BANA RAKHA HAI

KISI KI YAADON NE PAGAL BANA RAKHA HAI…
KAHI MAR NA JAO..KAFAN SILA RAKHA HAI…
DAFNA NE SE PEHLE DIL NIKAL LENA…
KAHI VO NA DAFAN HO JAE …
JISE DIL MEI BASA RAKHA HAI…

Paane Se Khone Ka Maaza Aur Hai

Paane Se Khone Ka Maaza Aur Hai,
Bandh Aankho Se Dekhne Ka Maaza Aur Hai,
Aansoo Bane Lafz Aur Lafz Bane Gazal,
Yaadon Ke Saath Jeene Ka Maaza Aur Hai...

Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyu Nahi Dete

Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyu Nahi Dete,
Jo Jaa Chuka Hai Us Ko Bhula Kyu Nahi Dete,
Mujrim Hoon Main Tera Mujhe Itna To Bata,
Khamosh Khade Hu Saza Kyon Nahi Dete,
Use Jis Ke Zakham Hai Inaayat Teri,
Gar Hai Tumhare Paas To Dawa Kyu Nahi Dete....

Apni bebasi par aaj rona aya


Apni bebasi par aaj rona aya,
Dusron ko nahi main ne apno ko aazmaya,
Har dost ki tanhai dur ki,
Lekin khudh ko har morh par tanha paya…

Tuesday, February 9, 2010

Mere Marne Par Mere Mukhalif Gam Na Karna

Mere Marne Par Mere Mukhalif Gam Na Karna,
Zinda Rahu To Silsila-e-Raqeebiyat Kam Na Karna…
Ye Mana Ki Meri Wafaa Ka Wazan Ab Bhi Zyada Hai,
Kuch Bhi Ho Tu Apni Bewafaai ka Mauzu Kam Na Karna…

Woh Diya Hoon Jo Mohabat Ne Jalaya Tha Kabhi


Woh Diya Hoon Jo Mohabat Ne Jalaya Tha Kabhi
Gham Ki Andhi Ne Subah Aur Shaam Bujhaya Mujh Ko..

Phir Kisi Yaad Ne Raat Bhar Hy Jagaya Mujh Ko,
Kya Saza Di Hy Mohabat Ne Khudaya Mujh Ko..

Aaj Yeh Tanhai Ka Ehsaas Kuch Hadd Se Zyada Hai


Aaj Yeh Tanhai Ka Ehsaas Kuch Hadd Se Zyada Hai,

Tere Sang Na Hone Ka Malaal Kuch Hadd Se Zyada Hai,

Phir Bhi Kaat Rahe Yeh Jiye Jane Ki Saza Yehi Sochkar,

Shayad Is Zindagani Mein Mere Gunaah Kuch Hadd Se Zyada Hai..

Apni to mohabbat ki itni kahani hai

Apni to mohabbat ki itni kahani hai,
Tooti hui kashti or thera hua pani hai,
Ek phool kitabon may dam tor chuka hai,
Magar kuch yaad nahi aata yeh kis ki nishani hai…

Wo Khatam Qaid ki Miyad Bhi Nahi Karta

Wo Khatam Qaid ki Miyad Bhi Nahi Karta,
Aur Main Zehmat-e-Faryad Bhi Nahi Karta,
Kabhi Kabhi Wo Mujhe Itna Yaad Aata Hai doston,
K Main Zid Mein Aa Kar Usey Yaad Bhi Nahi Karta..

Some Dard Shayari

Wo Khatam Qaid ki Miyad Bhi Nahi Karta
Aur Main Zehmat-e-Faryad Bhi Nahi Karta
Kabhi Kabhi Wo Mujhe Itna Yaad Aata Hai doston
K Main Zid Mein Aa Kar Usey Yaad Bhi Nahi Karta..

______________________

Apni to mohabbat ki itni kahani hai,
Tooti hui kashti or thera hua pani hai,
Ek phool kitabon may dam tor chuka hai,
Magar kuch yaad nahi aata yeh kis ki nishani hai…

_____________________

Jaan se bhi zyada unhe pyaar kiya karte the
Yaad unhe din-raat kiya karte the
Ab un raahon se guzra nahi jaata
Jahan baith kar unka intzaar kiya karte the…

Jaan se bhi zyada unhe pyaar kiya karte the

Jaan se bhi zyada unhe pyaar kiya karte the,
Yaad unhe din-raat kiya karte the,
Ab un raahon se guzra nahi jaata,
Jahan baith kar unka intzaar kiya karte the…

Khuda se thoda sa rehem kharid loon

Khuda se thoda sa rehem kharid loon,
Apke zakhmo ka marham kharid loon,
Agar bik jaye meri khushiyaa kahi,
To apka har gam kharid loon.

Tumse kiya pyar hamne bhool yah mujhse hui

Tumse kiya pyar hamne bhool yah mujhse hui,
Apne hatho jahar khaya, bhul ye mujhse hui,
Jan ke dushman ko ham jane ja kahte hain,
Apna jan mal sab kuchh lutaya bhul ye mujhse hui,
Teri har bat ka aitbar hamne kiya,
Tune hi mere dile aashna ka khun kiya,
Tere hi liye main jahan se takraya, bhul ye mujhse hui,
Ab bhi teri shokh chanchal adaye kahti hai,
Ab bhi teri Bewafai mere dil main saye ki tarah rahti hai,
Raton main jata tha milne bhul ye mujhse hui,
Leta hoon jab rat ki tanhaiyon main karwat,
Kanta ban kar chubhta hai mujhko bistar,
Uss Khuda ko chhod kar “Avinash”
Ibadat teri ki, bhul ye mujhse hui.

Mulaqat bhi kabhi aasu de jati hai

Mulaqat bhi kabhi aasu de jati hai,
Nazre bhi kabhi dhoka de jati hai,
Guzre huye lamho ko yaad karke dekhiye,
Tanhayi bhi kabhi sukun de jati hai.

Aye dil kinare ko kinara na samajh

Aye dil kinare ko kinara na samajh,
Aye dil sahare ko sahara na samajh,
Barish aane par kinare toot jate hain,
Musibat aane par sahare chhooth jate hain.

Hajar jakham liye baitha hai

Hajar jakham liye baitha hai,
Ashake khuni piye baitha hai,
Rahe ulfat main luta ke wafa,
Kaja se sadme liye baitha hai,
Dal ke kafan ruswa jindgi pe,
Hasrato se tauba kiye baitha hai,
Ho na saki darde ki dawa,
Khud jakhmo ko siye baitha hai,
Tadap ke bhi “AVINASH” tadpaya mujhe,
Isiliye game duniya piye baitha hai.........

Aaj hum roye tanha unko bhulane ke liye

Aaj hum roye tanha unko bhulane ke liye,
tmaam yaad hai unki hume rulane ke liye,
unki yaadon ko mitane ka jariya na mila,
humne khud ko mitaya unki yaadon ko mitane ke liye,,,,,,

Koi Ye Kaise Bataye Ke Wo Tanha Kyon Hai

Koi Ye Kaise Bataye Ke Wo Tanha Kyon Hai,
Wo Jo Apna Tha Wohi Aur Kisi Ka Kyon Hai,
Yehi Duniya Hai To Phir Aisi Ye Duniya Kyon Hai,
Yehi Hota Hai To Aakhir Yehi Hota Kyon Hai..

Har Muhabbat Wafa Nahi Hoti

Har Muhabbat Wafa Nahi Hoti,
Har Wafa Adda Nahi Hoti,

Kya Tamanna Ki Ab Zaroorat Hai,
Puri Koi Dua Nahi Hoti,

Mil Gaye Har Aik Gaam Per!,
Doosti Woh Dawa Nahi Hoti,

Sab Key Hathoun Mey Hain Diyeh Lekin,
Roshni Ayye Khuda Nahi Hoti,

Assmaan Yeh Qayaam Ho Ga Abb,
Qeemat-E-Zameen Adda Nahi Hoti,

Dhondtey Kya Ho Shehar Mey Abb
Har Soraat Tu Ashnaa Nahi Hoti…

Yah meri talaash ka jurm hai

Yah meri talaash ka jurm hai,
Ya meri wafa ka kasoor hai,
Jo dil ke jitney karib hai,
Woh nazar se utne hi door hai..

Mili Hai Badi Saza Unse Dil Lagane Ki


Mili Hai Badi Saza Unse Dil Lagane Ki,
Nazar Lagayi Hamare pyar ko zamane ki,
Khabar Se Nikle Huwe Dono Hath Kehte Hain,
Aarzoo Rehgayi Use Gale Lagane Ki..

Wo shakhs mujhe toot k rone nahin deta

Wo shakhs mujhe toot k rone nahin deta,
Khawabon me agr aye to sone nahin deta,
Khud us k marasim to zamanay se hain lekin,
Mujhe wo kisi or ka hone nahin deta…

Darya-e-Mohabbat me sailab Bahut tha

Tabeer jo Mil jati to ik khwab Bahut tha.
Jo shaks ganwa Baithay hain Nayab Bahut tha.
Me kaise Bacha leta Bhala kashti-e-dil ko
Darya-e-Mohabbat me sailab Bahut tha…

__________________

Zalim Tha Wo Aur Zulm Ki Aadat Bhi Bohot Thi
Majboor The Hum Usse Mohabbat Bhi Bohot Thi

Us But Ke Sitam Seh Ke Dikha Hi Diye Humne
Go Apni Tabiyat Men Bagawat Bhi Bohot Thi

Waqif Hi Na Tha Ramz-e-mohabbat Se Wo Warna
Dil Ke Liye Thodi Si Inayat Bhi Bohot Thi

Yun Hi Nahi Mashoor-e-zamana Mera Qatil
Us Shakhs Ko Is Fan Men Maharat Bhi Bohot Thi..

Aaj Kuch Kami Si Hai Tere Bagair

Aaj Kuch Kami Si Hai Tere Bagair
Na Rang Hai Na Roshni Hai Tere Bagair
Waqt Apni Raftar Se Chal Raha Hai
Magar Dhadkan Thami Si Hai Tere Bagair
Na Baarish Hai Na Dhuan Phir BHi
Dil Mein Tapish Si Hai Tere Bagair
Bahot Roka Aansuon Ke Badalon Ko Barasne Se
Phir Bhi Aankhon Mein Nami Si Hai Tere Bagair..

Ye raaz kon jane kis ka qasoor tha

Ye raaz kon jane kis ka qasoor tha,
toota wahi sahara jis pe garoor tha,
usay hai guroor k woh kisi aur ka hai,
hamein hai naaz k woh kabhi hamara zaroor tha..

Tera dard Bayaan karne ke liye lafz nahi milate

Tera dard Bayaan karne ke liye lafz nahi milate
MOhabbat k jkham k dawa dukan me nahi milate

Kassh khuda hume itana dard nahi deta dost
Toh hum bhi mehfil me tumse hass-hass k milate..

Sunday, February 7, 2010

Phir aansuon k kuch fasane nikle

Phir aansuon k kuch fasane nikle,
maikhane se sharabo k paimane nikle,

jo dil k haal ko samaj na paya,
unko hum apne zakham dikhane nikle..

Aati jati saanso me Zindagi basar hoti rahi

Aati jati saanso me Zindagi basar hoti rahi,
Annkho me ashk na rahe par Zindagi roti rahi,

dekha tha khwab par anjaam kuch aisa hua,
dil mera tadapta raha aur wo bhi roti rahi,

besabra hokar hamne zindagi bhi chohd di,
kafan na nasib hua kabra ko lash roti rahi,

aaj to us maa ne apne bacche sula diye,
kal ki fikra me raat bhar daman bhigoti rahi,

behisab khwahisho ka bojh itna badh gaya,
khwahisho ki bheed me zindagi khoti rahi..

Aye Khuda Aaj Ye Faisla Karde

Aye Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe Hain Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahut Mushkil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde…

Is Zamanay Say Na Hum Koi Gilla Rakhain Gain

Is Zamanay Say Na Hum Koi Gilla Rakhain Gain
Dil Lagayein Gain To Na Shart-E-Wafa Rakhain Gain

Na Dikhayain Gain Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhain
Dard Uthay Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Gain

Jaan Dey Daingain Agar Aik Ishaara Kar Dey
Ham Usay Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhain Gain

Sab Hata Daingain Teri Raah Ki Rukawatain
Hamdam Ghar K Darwazay Ko Her Waqt Khula Rakhain Gain

Unki Har Baat Ko Bhoolay Say Na Bhoolain Gain
Unn Ki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain Gain

Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki Hussaini
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Gain…

Har Muhabbat Wafa Nahi Hoti

Har Muhabbat Wafa Nahi Hoti
Har Wafa Adda Nahi Hoti

Kya Tamanna Ki Ab Zaroorat Hai
Puri Koi Dua Nahi Hoti

Mil Gaye Har Aik Gaam Per!
Doosti Woh Dawa Nahi Hoti

Sab Key Hathoun Mey Hain Diyeh Lekin
Roshni Ayye Khuda Nahi Hoti

Assmaan Yeh Qayaam Ho Ga Abb
Qeemat-E-Zameen Adda Nahi Hoti

Dhondtey Kya Ho Shehar Mey Abb
Har Soraat Tu Ashnaa Nahi Hoti…

Some Interesting News

Share Your Shayari With Blog

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...