Wednesday, September 8, 2010

Bewafai Unhi Se To Naseeb Hoti Hai

Mohabbat Se Hamain Kya Umeed Hoti Hai,
Mohabbat To Beumeed Hoti Hai,
Chahate Hai Jine Hum Jaan Se Bhi Zyada
Bewafai Unhi Se To Naseeb Hoti Hai.

Kyu rulaate ho mujhe

Kyu rulaate ho mujhe ?
Kyu bhool jaate ho mujhe?
Tere he sahaare to jee rahe hain hum..

To phir kyu akela chodh jaate ho ?
Har baat ko chupana ataa hai tumko,
Roothon ko manana ataa hai mujhe.
Roothe ho tum na jaane kis baat par mujh se…
To phir wo baat kyu nahi bataate ho tum mujhe?

Jaan jaati hai meri ,
Jab yaad aati hai tumhari.
Tum to mujhe bhula dete ho…
To phir kyu yaad aate ho mujhe?
Hum jeene ke bahaane marte rahenge,

Pyaar hum tumse karte rahenge.
Pyaar to tum bhi karti ho na..
To phir kyu yu sataati ho mujhe?
Ya keh do zeher peene ko,
Ya kaho phir mujhe jeene ko.

Agar mere saath main nahi chalna tha tumko….
To phir kyu mujhe raasta zindagi ka dikhaya ?
Beech raaste main kyu is tarah akela chodh diya?
kaho …kuch tho kaho
Kyu akela chodh diya ….

Yaar jo bhi mila dil jala kar gaya

Yaar jo bhi mila dil jala kar gaya
Khaak main meri hasthi mila kar gaya

Pyaas jiski sada mai bhujatha raha
Zahere-katil mujhe wo pila kar gaya

Naaz uski wafa per mujhe tha magar
Teer woh bhi jigar per chala kar gaya

Doondta tha kabhi jo mujhe her gali
Aankh wo aaj mujhse bacha kar gaya

Mangta tha sahara jo herdam mujhe
Besahara mujhe wo bana kar gaya

Neend aagosh main jiski aane lagi
Maut ki neend mujh ko sula kar gaya

Aarzoo thi “Yaaro” kisii ki mujhe,
Kwaab mere wahi to mita kar gaya

ek chota sa sapna tha

ek chota sa sapna tha
us sapne mein koi apna tha
us apne mein kuch sakoon tha
jo zindagi ka junun tha

us junoon mein ek rahat thi
jo sirf teri chahat thi
us chahat mein ek andaz tha
jo meri dhadkano ka raaz tha

us raaz mein ek khushbo thi
jo meri sooch ki justuju thi
us justuju mein ek hararat thi
jo meri khushiyoun ki sharat thi

us shahrat mein mein ek ehsaas tha
k tou jo mere pass tha
us pass mein jo ek araam tha
woh bus sirf ek tera naam tha

Dard to Zindagi ki sabse badi sachchai hai

Dard to Zindagi ki sabse badi sachchai hai,
Zindagi kab bhala Dard se bach payi hai,

MaiNe socha tha dard door hai mujhe se bahut,
Har pal mili mujhe dard se ruswai hai,

Halat-e-dil kaise bataon main tumhe,
Pyar mein tere chot bahut ghadi khayi hai,

Dil ne socha tha kare gaye Mohabbat ki baatain,
Kyun pyar mein ki tune bewafai hai

Dard hai ke Mohabbat ka Jata nahi hai

Dard hai ke Mohabbat ka Jata nahi hai
Us berahem ko mujh pe rahem aata nahi hai
Didaar-E-Yaar ko hum tadapte rahe
Khuda bhi uska didaar karata nahi hai

Duwa yeh aati hai honton pe bar bar
Moat aane se pahle bas ek bar
Mere mehboob ke didaar hojaye
Dil hai ke koi aur khuwaab sajata nahi hai

Woh aayegi zaroor dil yeh kahta hai
Usi ki yaad mein muftalib yeh rahta hai
Ab ruk ne ko hai yeh saanse meri
Aur yeh waqt hai ke ruk jata nahi hai

Dard hai ke Mohabbat ka Jata nahi hai
Us berahem ko mujh pe rahem aata nahi hai
Didaar-E-Yaar ko hum tadapte rahe
Khuda bhi uska didaar karata nahi hai…

Teri yaad se rishta kal bhi tha

Teri yaad se rishta kal bhi tha
teri yaad se rishta aaj bhi hai,,

Dil apna dukhta kal bhi tha
dil ye udaas aaj bhi hai,,

Jo pyar hum tum karte they
woh pyar to zinda aaj bhi hai,,

Hum bichad gaye is doori mein
tum door ho majboori mein,,

Kabhi waqt mile to chali ana
khula dil ka darwaza aaj bhi hai,,

Na sataao, na tadpaao….. .
na mehfil mein yu tanha chodo,

Teri yaad me jaage kal bhi they,
teri yaad me jaage aaj bhi hain……

Some Interesting News

Share Your Shayari With Blog

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...