Saturday, February 6, 2010

Some Of Best Shayari

Woh to deewana tha mujhe tanha chhor gaya,
Khud na ruk saka to Apna saaya chhor gaya,

Dukh nahin Gham is baat ka hai,
Aankho se kar k waada baaton se toar gaya…

___________________


Main Aksar Abb Sab Say Katraane Laga Hoon,
Khud Ko Abb Khud Say Chupane Laga Hoon,
Koi Mujh Say Agar Mere Dil Ka Haal Puche To,
Khabar Usey Kuch Aur Hi Sunaane Laga Hoon....

_______________

Meri Tanhai Ka Abb Yeh Aalam Hai,
Apni Dastaan Khud Hi Gungunaney Laga Hoon,
Koi Ataa Bhi Nahin Abb Mere Ghar Mein,
Phir Main Kyun Issey Sajaney Laga Hoon....

Kuch Haasil Nahin Hai Uss Guzrey Waqt Say
Yehi Soch Kar ‘Bahut’ Sab Bhulaney Laga Hoon…
________________

Aise Anjan bane baithe ho

Aise Anjan bane baithe ho,
Tum ko kuch bhi na pata ho jaise,
Hichkiyan aati rahi raat bhar,
tune phir yaad kiya ho jaise..

Yun na mil mujhse Khafa ho jaise

Yun na mil mujhse Khafa ho jaise
Sath chal mere mauj-e-saba ho jaise
log mujhe dekh kar has dete hai
tu mujhe bhool gaya ho jaise

Paas aa ke sab hi dur chale jate hain

Paas aa ke sab hi dur chale jate hain,
Hum akele hai akele hi reh jate hain,
Dil ka dard dikhayein kisko,
Jab marham lagane wale hi dard de jate hain.

Kal uski Yad puri Rat ati rahi

Kal uski Yad puri Rat ati rahi,
Hum jage puri Dunia soti rahi,
Aasman me bijli puri Rat hoti rahi,
Bas ek BARISH thi jo Mere sath roti rahi…

Tera Zikr Aaya


Aaj Dil Kii Har Baat Kahii To Tera Zikr Aaya,
Guzri Mohobat Kaa Har Lamha Yaad Aaya…

Hui Mud_dat Aaj Tak Mujhme Kuchh Nahii Badla,
Mere Khayaal Mein Teri Adaaon Par Naya Rang Aaya…

Teri Yaadon Kii Aahat Ko Batorne Mein Hoon Juta,
Bas Tera Karam Hai Yeh Jo Khud Ko Naa Samjha Paaya…

Saakib Zindagi Mein Ab Aur Kaya Raha,
Ik Khayaal Tak Naa Usko Tera Aaya…

Jee Raha Hoon Bas Issi Soch Mein Doobh Kar,
Vaada Kiya Tha Usne, Phir Kyu Nahii Aaya…

Aaj Dil Kii Har Baat Kahi To Tera Zikr Aaya,
Guzri Mohobat Ka Har Lamha Yaad Aaya…

Mujhse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine


Mujhse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,
teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,

jis pe likha tha ki tu meri muqaddar mein nahi,
apne maathe ki woh tehreer mita li maine,

har janm sabko yahaan sachha pyaar kahaan milta hai,
teri chaahat mein to umr bita li maine,

mujhko jaane kahaan ehsaas mere le jaayein,
waqt ke haathon se ek nazm utha li maine,

gheerey rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
teri yaadon se har ek saans saja li maine,

jiske sheron ko woh sunkey bahut roya tha,
bas wohi ek ghazal sabsey chupa li maine…

Main nahi khud ke liye

Main nahi khud ke liye,hoon main zamane ke liye
Khud ko zakhm de dekar auron ko hassane ke liye
Humne kya kya na kiya tere chale jaane ke baad
Tujhe hi yaad kiya tujhko bhulaane ke liye…

khud ke Ishq ko fanna kuan karega

khud ke Ishq ko fanna kuan karega,
sabhi nek banenge toh gunhaa kuan karega,
ae khuda bachaye rakhna uss bewafa sanam ko,
warna hamari maut ki dua kuan karega…

Mujhko ek bar aajmate to sahi

Mujhko ek bar aajmate to sahi;
Wo meri bajm mein aate to sahi.
Maine rakha tha sare sham se gher ko sajaker;
Tumne rukte ek pal mager aate to sahi.
Aapki khatir aapki khusiyon ki khatir;
Khud bhi ho jata neelam batate to sahi.
Yakeena aapke hisse mein raushani hoti;
Shamme wafa dil mein ek bar jalate to sahi.
Mai bhi insan hu patther nahi kyu thukraya ?
Khud ho jata tukde tukde batate to sahi…

hum aah na kareinge

Ab Dard kitne bhi mile, hum aah na kareinge,
Magar ishq karne ka, phir gunaah na kareinge…
Ek baar Maut aaye to hans kar laga le gale se,
Kam se kam Phir hum, Kiston mein na mareinge…

Ab mujh ko bhoolne ke bahane talash kar

Ab mujh ko bhoolne ke bahane talash kar,
Musam naya hai, tazah thakane talash kar,

Aankhon ki duobti hoee kafiyatain na dekh,
In murdah aansoon main zamane talash kar,

Mahloon ke baasiyon ne to thukra diya tujhe,
Galiyon main apne dost purane talash kar,

Ya roshni ki burf se chehre ko dhaanp le,
Ya zulimaton main khawab suhane talash kar.

Dil Ne Ashq Bahaaya Phirse


Tere Jaane Ke Baad Dil Ne Ashq Bahaaya Phirse,..
Haath RakhKar Dil Ke Paas Humne Isko Samjhaaya Phirse,..

Phir Bhi Dil Se Awaazein Aati Hai,..
Tumhare Naam Ki Sadaaein Aati Hai,..
Tumhara Naam Zubaan Pe Gungunaake Dil Ko Behlaaya Phirse..

Thursday, February 4, 2010

Some Best Dil shayari

yaad teri hume itni aayi,
ke teri yaado ke saaye me jine laga,
dost to dost meri halat ko dekh,
khud khuda bhi rone lagaaaa,
plze come back in my life

______________________


dard~e~dil bekraar hua,
humko bhi unsse pyaar huaa,
itna khub surat unka chehra tha ki,
qatll mera sar~e~aaaaaam huaaaa.

______________________

mohabbt ke chand lamhe saath bitaane,
ko tayaar the hum,
pyaar ki kasti paar pahunchane,
ko tayaar the hum,
saare riste naate tod tumse milne,
ko tayaar the hum,
samjh na paaye tum humari ankho ki baaten,
issiliye khamosh yaar the hum

saja hume mili

bewafai unhone ki saja hume mili,
pyaar humne kiya,gunah unse hue,
chot usse lagi to dard mujhe hua,
ghav to uske bhar gye,
par nissaa mere baaki reh gye.

dua krta hun ki koi pyaar na kre

dua krta hun ki koi pyaar na kre,
agr dil kisi ka tutte to fryaad na kre,
bewafaao se wafa ki tamanna rkhne wale,
kal meri kabr ke paas teri bhi na mile

jis waqt unhe humari talash thi

wo chhup kar bethe the,
jab hume unki chah thi,
hume bhi usi waqt aani thi maut,
jis waqt unhe humari talash thi,

bewafa dil ki rahon me na bhatke hote,
sisse se najuk dil ko sine me chhupa ke rkhte,
agr hum karte unse bewafai,
to aaj iss kabr me na lete hote.

hum chah kar bhi use paa na sake

hum chah kar bhi use paa na sake,
ye dard~e~dil sunaa na ske,
socha ki smjh jayenge ankho se baaten,
par unki ankhon se ankhe mila na sake.

wo na mile to unki yaade hi kafi hai


wo na mile to unki yaade hi kafi hai,
dubte ko tinke ka saharaa hi kafi hai,
unke liye to jaan hum unhi deden,
bas unka ek isaara hi kafi hai.

naya jakham ek laga degi

Meri wafao ka duniya kya sila degi
bahut karegi naya jakham ek laga degi
Mai sange mil hoon pathar nahi hoon raste ka
Ki jab bhi chahegi duniya mujhe hata degi
Dilo ki shama jalate chalo ki iske siwa
Chirag jo bhi jalenge hawa bujha degi
Tumhare jahno par tari hai khauf ka aaseb
Batao kaise tumhe jindgi sada degi
Wah chashme naj bahut fitna saj bhi hai “Aashiq’
Na jane jurme mohababat ki kya saja degi.

Dur ho gaye hamare chahne wale

Dur ho gaye hamare chahne wale,
Yaad bahot aaye hume bhulne wale,
Mit gaye the hum jinki chahat mein
Wo kabhi laut ke nahi hain aane wale…

Some Best Dil Dard Shayari

Mili he bahut saja unse Dil lagane ki
Nazr lag gai mere pyar ko zmane ki
Markr b KABAR se Nikle rahe 2no hath
Arju rh gai unhe gale Lgane Ki.

___________________________

Unko Jana Tha bait k Doli me wo Chale Gaye
Hamko rokna Tha magr roke na ruke
Dhono ka safar tho churu hogaya tha,
Fark To Sirf Itna Tha,
Unko doli me bitaya gaya,
aur Hame dole me sulaya gaya…..


Kafan na dalo mere Chehre par.
” mujhe Aadat hai muskuraney ki.”
aaj ki raat na dafnao mujhe yaroon,”
aaj umeed hai unke Aane ki

___________________________

Mohabbt me yeh Hum kahan agaye!
Gar se nikle the aur Maikane pahunch gaye,
ye mohbbt b kya cheez hai yaro,
jab ek moqaam se nikal gaye,
tho dusre moqaam pahunch gaye,
jab maikane se nikle the,
Aaj kabrstan pahunchaye gaye..

___________________________

Khuda ki mahobbat fanah kaun karega..
Sabhi neak ban gaye to gunah Kaun karega..
Aye khuda bewafa sanam ko bachaye rakhna..
Warna hamari maut ki dua kaun karega…
DeepKiss.jpg image by blondeprincess2you2

Some Dard Shayari

Dard se khelna sikh gaye hum
Bewafayi ko jhelna sikh gaye ham kya btaye
Hame zindagi ne kis kadar saqth bana diya,
Ke maut se pehle kafan odna b sikh gaye hum!

_____________________________

Hamne tho apna dil unke hath me thama tha..
Mohabbt karte hai unse ye ehsaas dilaya tha..
unhone b kya koob natak nachwaya tha..
tod k dil bazar me dande se tookwaya tha..
dil to pagal tha sab kuch seh paya..
dek k unki bewafi kuch na kr paya..
rooh ko apni izaat pyari thii..
kaa k kasam
mouth ko apni gale lagwaya…
_____________________________

Kisi Aur k nam ki mehandi
apne hatho me tho tum saja chuki ho,
sirf rang utar na baki hai,
hamara dil tod k tum hamari jaan lechuki ho,
sirf kafan se chupana baki hai…..

_____________________________

Legayi sb kuch magar bs kafan rehne dia,
Yuhi meri zindgi ka akri rehnuma rehne dia,
Hum gaye they unko loutane k liye.
Wo kha k raham rehne diya


Kyun Fir Tere Sath Guzra Zamana

Hain Aur Bhi Tere Husn Ke Rehnuma Kayi,
Kyun Fir Tere Sath Guzra Zamana Yaad Aata Hai,
Mere Dil-e-Dard Ki Wajah Tumse Hai Lekin,
Kyun Khuda Se Pehle Tera Naam Zuban Pe Aata Hai,
Yeh Dil-e-Naadan Janta Hai Fir Wo Hoga Na-Ummed,
Kyun Ek Aur Naya Zakhm Khane Tere Paas Chala Aata Hai

Kuch ajeeb faslo ka janm ho raha hai

Kuch ajeeb faslo ka janm ho raha hai,
Naseeb mera jaagkar bhi soo raha hai,
Kaise keh du tuta dil dhadakta nahi,
Jabki aaj dil ka har tukda ro raha hai…

Hakikat na puch mere fasane ki


Hakikat na puch mere fasane ki,
Tere jate hee badal gaye nazar zamane ki,
Log puchte hai main khush kyo nahi,
Kaya kahu meri to aadat thi tere sang muskurane ki

Teri aahat par dard saa hai

Teri aahat par dard saa hai,
koi gam mera ham dard saa hai,
baat jo bhi ho teri-meri
is jahan me koi apnaa saa hai,
door aur paas kya kisi se aas kya
sab to ek pal ka sapnaa saa hai,
koi nahi hota dard me kisi ka
apnaa kaha kar bharam aur
dhokhaa sa hai….

Tuesday, February 2, 2010

Pathar se wafa

Pathar se wafa, butt se sada maang raha hoon,
Kyu aaj main sehra se ghata maang raha hoon,
Mudat se koi dil ko dukhane nahi aaya,
Aa jao koi zakham naya maang raha hoon….

Mohobbat ne hum per yeh ilzaam lagaya hai

Mohobbat ne hum per yeh ilzaam lagaya hai,
Wafa kar k bhi bewafa ka naam paya hai.
Rahain alag nahi thin hamari phir bhi,
Hum ne alag alag manzil ko paya hai….

Dil ke Dard

Dil ke Dard ko Lafzon mai dhala na gaya
Ghum ke Ansuon ko Aankho se nikala na gaya
Usne Mujhe Dard is liye diya
Kyun ke
Usse Mera Pyar Sambhala na gaya…BEKHOUF MUSKURAATE HAIN
GULAAB KAANTON KE SAAYE MEIN
KUCH AAISSE BI SHAKKS HAIN
JINHEIN PHOOLON SE SHIKAAYAT HAI…

Haasi Thami Hai In Aankhon Mein Nami Ki Tarah

Haasi Thami Hai In Aankhon Mein Nami Ki Tarah
Mehakti Thi Jo Gulshan Mein Kali Ki Tarah,

Yun Toh Koi Aata Nahi Iss Viraan Chaman Mein
Yeh Kiski Parchai Hai Kuch Meri Hi Tarah,

Yun Toh Dard Ka Rishta Bahot Gehra Hai
Par Yaadein Bhi Ek Kadwa Sach Hai Zindagi Ki Tarah,

Woh Aaya Aur Chala Gaya Sab Kuch Lekar
Lipti Reh Gayi Rooh Badan Par Ajnabi Ki Tarah,

Kise Dhundti Hai Iss Duniya-e-Dast Mein Tanha Nazar
Koi Saathi Ho Mera Bhi Iss Khamoshi Ki Tarah….

Agar Sabko Mil Jaata Apna Humdum

Agar Sabko Mil Jaata Apna Humdum
Toh Yeh Ulfat Na Itne Uche Makam Hoti
Na Hota Zikr Aashiqon Ka Sadiyon
Mohabbat Fir Cheez Badi Hi Aam Hoti…

Dil Ki Deewar-o-Dar Pe Kya Dekha

Dil Ki Deewar-o-Dar Pe Kya Dekha,
Bas Tumhara Naam Hi Likha Dekha,
Tumhari Aankhon Mein Humne Kya Dekha,
Kabhi Qatil Kabhi Khuda Dekha

Toot Jaate Hain Sabhi Rishte

Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar
Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah…

Main kisi aur ka hoon itna bata kar roya

Main kisi aur ka hoon itna bata kar roya
Wo mujhe mehndi lagay hath dikha kar roya

Mujhe anjaam-e- mohabbat nahi mäloom hargiz
Ye kaha aur mujhe seenay se laga kar roya

Jo mujhe zabt ki talqeen kiya karta tha
Wo zamänay ko mera haal suna kar roya

Aansu ban kar nikal na jaun kahin, is Dar se
Apne ashkoon ko wo aankhoon mein chhupa kar roya

Wasl ka aakhri lamha jo muyassar tha hameen
Usi lamhay mein wo sadiyoon ko sama kar roya…

Gham Ke Bina Zindagi Adhoori Hai

Gham Ke Bina Zindagi Adhoori Hai
Ae Musafir Phir Bhee Tera Jeena Zarori Hai
Mat Ho Apni Zindigai Se Khafa
Kyon Ki Teri Zindagi Ke Bina
Ek Aour Zindagi Adhoori Hai!!!!

tujhe pane ki khawahish aur koshish hardam karta raha

Teri mohabat me mein khuda k sajde karta raha,
tujhe paya nai par na kho du kahin isliye bas darta raha,
tu na mili par is baat ka gam nai hai mujhe,
gam ye hai ki tujhe pane ki khawahish aur koshish hardam karta raha....

Milna ittafak tha

Milna ittafak tha bicharna nasib tha,
Wo itna dur huwa jitna karib tha,
Use dekhne ko tarasti rahi aankhein,
Jis shakhs ke haatho mein mera nasib tha

Sanso ka pinjra kisi din toot jayega

Sanso ka pinjra kisi din toot jayega,
Phir musafi kisi raah me choot jayega,
Abhi sath hai to do baaten karlo,
Kya pata kab mukaddar humse ruth jayega

++++++++++++++++++++++++++++

Lafzo ki justju me sab kuch ganwa diya,
Wo chal diya main tarz-e-ada dhundhta raha,
Us ko kisi ne rab se lyia mang aur main,
Sajde me gir k harf-e-dua dhundhta raha…

Teri mohabat me mein khuda k sajde karta raha

Teri mohabat me mein khuda k sajde karta raha
tujhe paya nai par na kho du kahin isliye bas darta raha
tu na mili par is baat ka gam nai hai mujhe
gam ye hai ki tujhe pane ki khawahish
aur koshish hardam karta raha!!!

Monday, February 1, 2010

Teri mohabat me mein khuda


Teri mohabat me mein khuda k sajde karta raha
tujhe paya nai par na kho du kahin isliye bas darta raha
tu na mili par is baat ka gam nai hai mujhe
gam ye hai ki tujhe pane ki khawahish
aur koshish hardam karta raha!!!

Likhu kuchh aaj ye waqt ka takaaza hai


Likhu kuchh aaj ye waqt ka takaaza hai,
dil mein dard abhi taza hai,
Gir padte hain aansu mere kagaz par,
Lagta hai kalam mein syahi kam dard zyada hai

Unke liye jab humne bhatkna chor diya


Unke liye jab humne bhatkna chor diya,
Yaad mein unki humne tadapna chor diya,
Roye bahut wo humare pas aakar,
Jab humare dil ne dhadkna chor diya.

Meri yaad jab bhi unhe aati hogi


Meri yaad jab bhi unhe aati hogi,
Har lamha bas unhe rulaati hogi,
Kaise bhul jaye unki chahat ko hum,
Bas intezar hain kahi se to aati hogi.

Unki yaad aakar dil jala deti hai

Unki yaad aakar dil jala deti hai,
Jo karni ho baate wo baate bhula deti hai,
Chocha na tha is tarah se chhod ke jayegi,
Ek pal ko sab bhula deti hai.

Mat roko rone do mujhe, Aansuon ko pee jane do

Mat roko rone do mujhe, Aansuon ko pee jane do
Har pal roti hai aankhe meri, Ke ashkon ko bhi jum jane do
Ab to din ke ujale se bhi dar lagta hai, Mujhe raat ke andhere me hi rahe do
Kaise bayaan karoon dil ka dard lafzon me, Ankho ko he sab kehne do

Musafir be-khabar hain teri aankhon se

Kal khud hi apni mehfil se nikaala tha hamein

Aaj wo hum sa dewaana dhoondhte hain

Musafir be-khabar hain teri aankhon se
Jo Tere shaher me maikhaane dhoondte hain

Tujhe kya pata aye sitam dhaane wale
Hum to khud rone k bahaane dhoondte hain

Unki aankhon ko youn na dekho tum
Naye teer hain nishaane dhoondte hain

Iss Qadr Naa Har Baat, Yaaron Se Puuch

Iss Qadr Naa Har Baat, Yaaron Se Puucho,
Jo Baat Raaz Ki Ho, iSharoon Se Puucho ..
Lehroon Se Khelna To, Samandar Ka Shauk Hai,
Lagti Hai Chot Kaise, Ye Kinaroon Se Puucho…

Pal-Pal tuje hee yaad keya karta hu

Pal-Pal tuje hee yaad keya karta hu,
Har dhadkan ke sath tera hee naam leya karta hu,
Dunga sath tuje kadam-kadam pe,
Tu har kadam pe muje hum safar samajna.

Some Interesting News

Share Your Shayari With Blog

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...