Friday, March 26, 2010

Na koi hamdardi jatanewala hota hai

Na koi hamdardi jatanewala hota hai,
Na koi dilo ka haal poonchnewala hota hai,
Fakht gareeb hona hi kasoor hai kisi miskin ka,
janaja bhi use khud ka Aap uthana hota hai.

Muflison ke naseeb me andhera hota hai

Muflison ke naseeb me andhera hota hai,
Unki zindagi me na swera hota hai,
Har iljaam lag jata hai kisi miskin pe,
Ke unki zindagi pe gurbat ka pehra hota hai.

kuch is tarah se pyar kar bethe hum

kuch is tarah se pyar kar bethe hum ke khud ko hi sambhal na paye,
har waqt yu to the hons me hum par kambakth unko ye samja na shake,
saath chale rahe unke magar unko ye ahsaas dila na shake,
pyar to unko bhi tha hamse magar who keh na sake, aur hum samaj na shake

Pyaar ko mujhse pyaar nahin

Pyaar ko mujhse pyaar nahin,GHAM kembakht hai JONK bani
Khushiyan saari ab chhin chuki hain,dard mera isteqbaal kare
Aansun meri hai zekhm ko dhoti,lahu mere ab merham bane
Khatm na ho jaayen ye bhi ab, ya KHUDA koi to mujhse pyaar kare.

Khatm huye wo phool saare

Khatm huye wo phool saare,jinhen apne haanthon se seencha tha kabhi
Na chubhoyen mujhe,AAH na dard den,in kaanton ko koi to khabardaar kare
Ungliyan saari khoon aalud huyin, UFF pair bhi lahu lahan hue
Koi to in pe merham rakkhe, ya KHUDA koi to mujhse pyaar kare.

Chaaha tha maine kabhi kisi ko

Chaaha tha maine kabhi kisi ko tut kar EHSAAS
Nighal chuki waqt ki aandhiyan unko, unhen koi QABR se bedaar kare
Khud ka janaaja kab tak dhoun,ROOH ko kab tak bechain karun
Bardaast nahin hota ye dard ab mujhse,ya KHUDA koi to mujhse pyaar kare.

farz to hum bhi nibhayege

farz to hum bhi nibhayege…..
yaar ki yaad ayegi to……
ankh se anshoo gir jayenge…..
jab koi dard unke pass jaye……
to haan kar unko hum apne dil se sahjaye……

jhuthe ye vadein

jhuthe ye vadein,
jhuthi thi kasmein,
muzko nahi tha ye pata,
sach kah raha hoon,
ye bhi na janu,
muzse huyi ye kya khata,
man me milan ki aas lagi hai, hothon pe mere hai dua,
yaar kaise tuzko main bhulao,
jakhm dil ka kaise main dikhao,
ki jor mera ab chale na,
kya hai bebasi kya batao.

Tuesday, March 23, 2010

Gham ne hasne na diya ghum ne rune na diya

Gham ne hasne na diya ghum ne rune na diya,
Kisi uljan ne koi faisla hone na diya,
Runa chaha jab bhi sitaro ne tasli dedi,
Sona chaha to teri yaad ne sone na diya.

Usne bhi hans hans kar har baat kahi

Usne bhi hans hans kar har baat kahi,
Hamne bhi hans hans kar sab sehan kiya,
Royee nahi ye ankhe unki saafgoi par,
Uss woqt khuda ne hum par bahut reham kiya.

Ankhon ke aage kabhi jaam nahi aat


Ankhon ke aage kabhi jaam nahi aata,
Mohbbat me bichhude dilon ko aaram nahi aata,
Ae dil todne wale itna to socha hota,
Toota hua dil kisi ke kaam nahi aata.

Raaz dil me chhupate hai wo

Raaz dil me chhupate hai wo,
Saamne aate hi nazar jhukate hai wo,
Baat karte nahi ya hoti nahi,
Shukra hai jab bhi milte hai,
To muskurate hai wo.

Chaha tha humne jise use bhulaya na gaya

Chaha tha humne jise use bhulaya na gaya,
Zakhm dil ka logon se chhupaya na gaya,
Bewafai ke baad bhi itna pyar karti hu ki,
Bewafa ka ilzaam bhi us par lagaya na gaya.

Saath chalne me jo maza hota

Saath chalne me jo maza hota,
Hame bhi vo mila hota,
Yehi hasrat rahi faqat apni,
Saath apne bhi koi chala hota,
Hum bhatkte rahe the raahon me,
Koi raasta pata chala hota,
Thaam lete badkar uss hath ko,
Gar humko bhi koi mila hota,
Hum ulajate nahi zamane se,
Jo hamsafar koi mila hota,
Hum na thakte safar me,
Gar saath apne koi chala hota.

Kya bataun ki mayus aansoo mere


Kya bataun ki mayus aansoo mere,
Kis kadar toot kar tere dama hue,
Naram bistar pe jaise koi Gulbadan,
Apne Mehbub se ruth kar gir pade.

Apni yaado’n ko, mere ghar pe, barasta dekho

Apni yaado’n ko, mere ghar pe, barasta dekho!
Aik aahat pe, mere dil ko, machalta dekho!
Lagi hai aag, judai ki, kitni shidat say
Aik pal ke liye aao, mujhay jalta dekho!

Ab k karna to kisi aise ki chahat karn

Ab k karna to kisi aise ki chahat karna
Jise aata he na ho Shikwa Shikayat karna
Teri kam goi k charchay thay zamanay bhar mein
kis se seekha hai yun baaton ki wazahat karna

Husool-e-Deed Se Mashroot Kub Hai Jazba-e-Dil

Husool-e-Deed Se Mashroot Kub Hai Jazba-e-Dil
Mujhe To Piyaar Tere Naam Par Bhi Aata Hai
Me Hijr-o-Wasal Ki Hadh Se Guzar Gaya Shayad
Tu Saamne Bhi Nahin Aur Nazar Bhi Aata Hai

Kisi ki khatir mohabbat ki intihaa kardo


Kisi ki khatir mohabbat ki intihaa kardo
Per itna bhi nahi usse khuda kardo
Mat chahoo kisi ko toot ker itna bhi
K Apni Wafaoon se usse bewafa kardo

Shehar Mera Magar Waqar Us Ka Tha

Shehar Mera Magar Waqar Us Ka Tha,
Meri Har Shaam Ko Intezar Us Ka Tha,

Mere Khuwabon Pe Jo Qabiz Hai Ek Shakhs,
Meri Aankhon Mein Sara Khumar Us Ka Tha,

Mere Wajood Se Jo Ban Chuka Hai Anjaan,
Meri Har Saans Mein Qaraar Us Ka Tha,

Jab Bhi Mangi Hai Us Se Shaam-e-Wasal,
Meri Har Daleel Par Inkaar Us Ka Tha,

Jo Shamil Thay Mere Qatal Ki Sazish Mein,
Un Logon Mein Shumaar Us Ka Tha,

Mere Jeewan Ne Ye Manzar Bhi Dekh Liya,
Pehlo Mera Khanjar Mera Magar Waar Us Ka Tha…!!!

Mast Nazron se dekh lenaa tha

Mast Nazron se dekh lenaa tha
Agar tamanna thi aazmane ki
Hum to behust youn hi ho jaate
Kya zaroorat thi muskurane ki

Rony se nahi kuch hasil ay dil e saudaai

Rony se nahi kuch hasil ay dil e saudaai
Ankhon ki bhi barbadi, damaN ki bhi ruswai
Hum log smandar k bichray huay sahil haiN
Is paar bhi tanhaaii, us paar bhi tanhaaii.

Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar

Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar
Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah

Jo shajar suukh gaya hai vo hara kaise ho

Jo shajar suukh gaya hai vo hara kaise ho
maiN payamber to nahin mera kaha kaise ho.

jis ko jaana hi nahin usko khuda kyuN maane
aur jise jaan chuke haiN, vo khuda kaise h

jis se do roz bhi khul kar na mulaqaat huii
muddatoN baad mile bhi to gila kaise ho…

Dil k jaltay huay zakhmon ko hawa mat dena

Dil k jaltay huay zakhmon ko hawa mat dena
Beetay lamhon k kissi pal ko sada mat dena
.
.
Teri aankhon k yeh aansu tau anmol moti hain
Apni naadaani mein tum inko ganwa mat dena
.
.
Ab maza dainay laga dard-e-muhabbat mujh ko
Mujh ko is dard ki ab koi dawa mat dena
.
.
Yun na ho k laug muhabbat hi se tauba kar lain
Is tarah jurm-e-muhabbat ki saza mat dena
.
.
Laug aksar yun hi bin poochhay chalay aatay hain
Koi poochhay bhi tu tum dil ka pata mat dena….!!!

Raat Ki Tanhayi Mein

Raat Ki Tanhayi Mein Un Aahaton Ki Kashmakash,
Kaisi Ajeeb Hoti Hai In Karwaton Ki Kashmakash,

Har Anjuman Adhura Hai, Har Mehfil Akeli Hai,
Deedar Ko Tarasti, In Chaukhaton Ki Kashmakash,

Na Thikana Hai Koi Bhi Zinda Lashon Ke Liye,
Yehi Hai Sisakte Sulagate Marghaton Ki Kashmakash,

Kayi Gehre Sawalon Ka Karwan Ho Jaise Koi,
Yun Meri Peshani Pe Salwaton Ki Kashmakash,

Haadse To Sabhi Ne Dekhe Honge Sadkon Par,
Janta Hai Koi Kya, Jam Ghaton Ki Kashmakash…

Hamari wafaoun ki laash abhi uthi hai

Hamari wafaoun ki laash abhi uthi hai..**
Ashk hain behta paani be lau Ankhein hain..
Bezubaan dard hai chubhta dheemi in dhadkano me..
Chahat hai betaab hamari..din raat maddham hain..

Dilme ek aas utthi hai

Dilme ek aas utthi hai..,
Muhallik tassavuraat ki mehek utthi hai..
Kaash ye sab sach na hota..
Ye fariyaad dil se nikli hai…
be panah muhabbat hai aaj bhi..

Some Interesting News

Share Your Shayari With Blog

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...