Thursday, November 25, 2010

Dard se hath na milate to or kya karte

Dard se hath na milate to or kya karte,
Gam ke aansoo na bahate to or kya karte.
Usne maangi thi humse roshni ki dua,
Hum khud ko na jalate to or kya karte.

lamho mein jo kat jae wo kya jindagi

lamho mein jo kat jae wo kya jindagi
aansuo mein jo beh jae wo kya jindagi
jindagi ka to falsafa hi kuch aur hai
jo har kisi ko samajh aae wo kya jindagi

Kuch Deewane Aansu

Kuch Deewane Aansu
Ishq ke daayre mein
Apna muqaam paa lete hain
Chahat ke kisson mein
Apni zindagi ka
Har hissa baha lete hain
Inhe hum kabhi
Jo mitaana chahein
Mohabbat mitne lagti hai
Inke Ehsaas Bina
Khushiyon ki aandhi mein
Wafayein bujhne lagti hain!!

Aaj Ek nazm likhi .. jisse bahut jald post karungi

Aaj Ek nazm likhi .. jisse bahut jald post karungi..
Uss nazm ko likhte hue ek khayal aaya zehan mein
Ki Aansu hum sab ki zindagi mein kya jagah rakhte hain!!

ik baat puchte rehte hain hum

ik baat puchte rehte hain hum,
bhagwan se fariyaad mein,
aisa kya hai unki har baat mein,
kyun aati hai bar bar woh meri yaad mein,
kya bhagwan yahi woh pyar hai,
jisko milne ke liye kiya,
hamne itna intzaar hai.

Kabhi Aanso Chupa Chupa Ke Rooey

Kabhi Aanso Chupa Chupa Ke Rooey,
Kabhi Dastan-E-Gum Suna Ke Rooey,


Raat Katti Hai Intezar-E-Yaar Main,
Hum Raat Bhar Taroon Ko Jaga Jaga Ke Rooey,


Phir Woh Na Aay Raat Ka Wada Kar Ke,
Hum Tamaam Raat Shama Jala Jala Ke Rooey,


Aaj Raat Un k Aaney Ki Umeed The Humain,
Woh Na Aay Hum Ghar Ko Saja Saja Ke Rooey,


Suna Hai Dua Se Hoti Hai Muraad Dil Ki Poori,
Hum Sari Raat Haath Utha Utha Ke Rooey…!!!

Soya tha raat koo, par nend nahi aayee- Love Shayari

Soya tha raat koo, par nend nahi aayee,
Saari raat humko sirf unki hee yaad satayee,
Aankh khuli toh paya apney aap ko bilkul akela,
Fir yaad aaya, tujhe rehna hai ……., aur abhi akela..

Dard Jab Bhi Ubhare Mare Sine Main

Dard Jab Bhi Ubhare Mare Sine Main ,
Karar Tujhko Na Aaye Jine Main| 


Gam Ka Pahaar Tujhpe Toote Iss Kadar,
Umra Kat Jaye Aansoo Pine Main| 


Maut Maange magar Tujhe Maut Na Mile,
Jindagi Bojh Lagne Lage, Tujhe Jine Main| 


Tu Chahkar Bhi Kisi Ki Ho Na Sake,
Jaise Angoothi Hoti Hai, Nagine Main| 


Tu Tarpe To, Dard Aaisi Uthe,
Jaisi Uthati Hai, Aaj Mere Sine Main| 


Dard Jab Bhi Ubhare Mare Sine Main ,
Karar Tujhko Na Aaye, Jine Main|| 

Dard main lazat bohot

Dard main lazat bohot
Ashkon main ranayi bohot
Aye ghamain hasti hamain
Duniya pasand ayi bohot


Ho na ho dahshto chaman
Main ek tahlouk hay zaroor
Bahdesahrayi bhi khusboyen
Ura layi bohot


Besaharoon ki mohabbat
Benawahoon ka khalose
Yeh woh dolat hay k
Insanon ne thukrayi bohot


Mutmahin ho dil to veranoon
K sanate bhi geet
Dil ujar jaye to shairoon main
Bhi tanhayi bohot


Apni fitrat main bhi roshan
Hoon ge lekin aye zameer
Meri ratoon se bhi taroon ne
Chamak payi bohot

khusiyo se naraz hai meri zindagi

khusiyo se naraz hai meri zindagi
pyar ki mohtaz hai meri zindagi
has leti hui kabhi logon ko dekh kar
warna dard ki kitab hai meri zindagi Apni marzi se kahan apne safar se ham hain….
Rukh hawaon ka jidhar ka, udhar se ham hain…
Pehle har cheez thi apni, har log apne the…..
Ab apne hi dosto mein koi paraye se ham hain…..

Meri gali se wo ja b bhi gujarta hoga

Meri gali se wo ja b bhi gujarta hoga
Mod pe jaake kuch der thaharta hoga
Bhool jaana mujhko itna aasaan to na hoga
Dil main kuchtoot ke to bikharta hoga
Saath dekhe the Jo un khwabon ka kaarwaa
Gubaa bankar uski aankho me ubharta haga
Koi jab choomta hoga use baanho me lekar
Mera pyar badan me uske siharta hoga
Uski julfon ko meri ungliyan dulaarti hongi
Saamne aaine ke wo jab bhi sanwarta hoga
Dard jab bhi deta hoga ye sangdil zamaana
Wo bewafa is “maan” ko yaad karta hoga

Yaad toh har koi karega jaane ke baad

Yaad toh har koi karega jaane ke baad,
sache pyar ka pata chal jaayega vaqt aane ke baad,
kaun kitni mohabbat karta hai,
nazar aajayega mar jaane ke baad,

Jinhe dhoondte hain sapno main

Jinhe dhoondte hain sapno main
Woh haqeeqat main nahi hai
Jo haqeeqat main hai saamne
Woh hamare sapno main nahi hai


Jo Dil main hai hamare
Woh hamare qareeb nahi hai
Aur jo qareeb hai hamare
Woh hamare Dil main nahi hai 


Jis se Pyaar karte hain hum
Woh hamare baare main sochta nahi hai
Jo sochte hain humaare baare main
Un se Pyaar hum karte nahi hain 


Hum jinka intezaar karte hain
Woh kabhi aate nahi hain
Aur jo aa jaate hain saamne
Unka intezaar hum karte nahi hain 

Agar mohabbat meri sachi hai to ek din zaroor mila degi

Agar mohabbat meri sachi hai to ek din zaroor mila degi
Agar zid meri pakki hai to aey Khuda aasman ko bhi hila degi


Na inkaar kar sakta hai koi meri wafa se, mujhe yakin hai
Par tum sambhalna ek din meri wafa tujhe bewafai ka sila degi


Yeh baat sach hai ke tumne humse pyaar kiya par dusare hi pal bhula diya
Mera pyaar itna aashan na tha na socha tha ke teri mohabbat daga degi


Na bhula sakungi woh mohabbat na voh bewafai, jo tu ne ki
Saza iss se barh ke kya degi ke umar bhar meri mohabbat tujhe dua degi


Agar dum hai meri wafa-e-mahobbat mein to woh ek din, aayega zaroor
Jab meri yaad mein to tarpega par tab ’sabghat’ tujhe apni mohabbat na degi

Dard Ki Barish Sahi Maddham Zara Aahista Chal

Dard Ki Barish Sahi Maddham Zara Aahista Chal,
Dil Ki Mitti Hai Abhi Tak Nam Zara Aashista Chal,


Tere Milne Aur Phir Tere Bichhad Jane Ke Bich,
Faasla Ruswai Ka Hai Zara Aahista Chal,


Apne Dil Hi Mein Nahi Hai Uski Mehrumi Ki Yaad,
Uski Aankhon Mein Bhi Hai Shabnam Zara Aahista Chal,


Koi Hi Ho Humsafar Na Ho Khush Is Qadar,
Ab Ke Logon Mein Wafa Hai Kam Zara Aahista Chal….

Paane se khone ka maza aur hai

Paane se khone ka maza aur hai


Bandh aankhon main rone ka maza aur hai
Aansoo bane lafz aur lafz bane ghazal


aur uss ghazal main tere hone ka maza aur hai

Sapne Ki Tarah Aakar Chale Gaye

Sapne Ki Tarah Aakar Chale Gaye


Gamo Ki Neend Sulakar Chale Gaye
Kis Bhool Ki Saza Di Humko??
Pehle Hasaya Aur Fir Rulakar Chale Gaye. Hum ko to muskranay ki Aadat si hai
Ansoon ko Chupanay ki Aadat si hai
Duwa na hi Dawa Kaam kerti Hai hum per..


Ab to Zakhm Khanay ki Aadat si Hai..

Aaj To Hum Maut Ki Dua Kar Ke Roye Hain

Aaj To Hum Maut Ki Dua Kar Ke Roye Hain


Dobara Aaj Khuda Se Gila Kar Ke Roye Hain
Kyon Na Likh Saka Tu Us Ko Taqdeer Mein Meri


Yeh Aik Khayal Soch Kar Phir Hum Roye Hain. 

Tere pyar ka sahara kafee hai

Daulat shohrat kya karni
Tere pyar ka sahara kafee hai
—-o—-
Yeh mehil atari nien chayien yeh
Mehil atari nien chayien
Tere dil ne utara kafee hein
Daulat Shohrat kya karni
—-o—-
Mere sanam mujhe teri kasam
Meri jaan bhi tho, iman bhi tu
Tere daam se hai mera daam
Jaan bhi tu, anjaan bhi tu
—-o—-
Paisa waisa kya karna mujhe
Paisa waisa kya karna
Mujhe tera nazara kafi hai
Daulat shohrat kya karni
—-o—-
Daulat sohrat kya kani
Tere pyar ka sahra kafee hai
—-o—-
Pyaar mohabbat se duniya mien
kuch bhar kar kohta heen nahin
—-o—-
Daulat jahin tho jahin koi
Pyar bina rohta bhi nahin
—-o—-
Esho musarat nahin chahyien mujhe
Esho musarat nahin chahyien
Tere naam ka sahara kafien hien

har ek ne dhoka diya kis-kis ko bhula dete

Kaha koi aisa mila jis par duniya luta dete,


har ek ne dhoka diya kis-kis ko bhula dete.
Kaha koi aisa mila jis par duniya luta dete,


har ek ne dhoka diya kis-kis ko bhula dete.

isliye thumahari akhomay aa hi jaata hu

Zindagi se bhi lambi meri gam ki andheri raatein hai
subah ka intezaar karte karte thak gayi hoon mein
aasuon ko bahut samjhaya ki tanhai mein ayaa karo,
mehfil me mera majak mat udayaa karo,
is par assoon tadap kar bole,
itne logo me tumhe tanhaa pate hein,
isliye thumahari akhomay aa hi jaata hu……

Woh dil hi kya tere milne ki jo dua na kare

Woh dil hi kya tere milne ki jo dua na kare


Mein tujhe bhool kar zinda rahoon Khuda na kare.
Raheyga saath tera pyar zindagi ban kar,


Yeh aur baat hai zindagi meri mujhse beewafa na kare.

Jab dosti ki dastaan waqt sunayega

Jab dosti ki dastaan waqt sunayega,


hum ko bhi koi shaks yaad ayega ,
tab bhool jayenge zindagi ke gamon ko ,


jab AAp ke saath guzra who waqt yaad ayega.

Lehar aati hai, kinare se palat jati hai

Lehar aati hai, kinare se palat jati hai,


yaad aati hai, dil mein simat jati hai,
don! o mein farakh sirf itna hai,


lehar bewaqt aati hai, aur yaad har waqt aati hai.

Jis subha tari yad na aya

Jis subha tari yad na aya..


Khuda karay ayasi subha na aya
Ya kabhi mumkin nahi kay


Dil dharkay ar tara yad na aya

Tari hatopay mahandi lagaygi to mari namki hogi

Tari hatopay mahandi lagaygi to mari namki hogi.
Doli tari ruksat hogi to mari gharpay rukaygi
Isi umid liya zinda rahangay martaydamtak.
Kyon ki mujhay yakin hai tu akdin jarur ayagi.

lekin teri judaai mein har roz marta hai koi

Yaad mein teri aankhe bharta hai koi,
har saans ke saath tujhe yaad karta hai koi,
maut to sachai hai aani hai,
lekin teri judaai mein har roz marta hai koi….!

Har surat Kaleje se laga lene k qabil hai

kudara Kaise Kaise Suraten Tu-Ne Banae Hain
Ki Har surat Kaleje se laga lene k qabil hai
Aaj Samjha Tere Rukhsar par til ka matlab
Daulat-e-husn Par Darban Bitha Rakha Hai

kaise koi ajnabi apna ban jata hai

Ek pal ka saath aapka dil choo jata hai,
jaane ke baad aapke yeh pal bohot yaad aata hai,
dil na jane kyu samajh nahi pata hai,
kaise koi ajnabi apna ban jata hai.

Dhadkano me hich kichahaat si hoti hai - dard shayari

Tanha akele jab teri yaad hoti hai
Veerane dil me aahat si hoti hai
Dhadkano me hich kichahaat si hoti hai
Jab bi dhoonda humne aashiyana ashiquie ka…
Aankho me aashko ki barsaat si hoti hai….!!

APNI TO ZINDAGI HI AJEEB KAHANI HAI

APNI TO ZINDAGI HI AJEEB KAHANI HAI ,
JIS CHIS KO CHAHA WO BEGANI HAI ,
HASTE HAI TO SIRF DUNIYA KE LIYE ,
WARNA IN ANKHO MAIN TO SIRF PANI HI PANI HAI…

Dard Mein Bhi Yeh Lab Muskura Jaate Hai

Dard Mein Bhi Yeh Lab Muskura Jaate Hai
Beete Lamhein Hamein Jab Bhi Yaad Aate Hai – 2
Beete Lamhein……….

Chand Lamhaaat Ke Waaste Hi Sahi
Muskuraakar Mili Thi Mujhe Jindagi
Teri Aaghosh Mein Din The Mere Kate
Teri Baahon Mein Thi Meri Raate Kati
Aaj Bhi Jab Woh Pal Mujhko Yaad Aate Hai
Dil Se Saare Gamon Ko Bhula Jaate Hai
(dard Mein Bhi Yeh Lab Muskura Jaate Hai
Beete Lamhein Hamein Jab Bhi Yaad Aate Hai) – 2
Beete Lamhein……….

(mere Kaandhe Pe Sir Ko Jhukaana Tera
Mere Sine Mein Khud Ko Chhupaana Tera) – 2
Aake Meri Panaahon Mein Shaamo Sehar
Kaanch Ki Tarah Woh Toot Jaana Tera
Aaj Bhi Jab Woh Manjar Nazar Aate Hai
Dil Ki Viraaniyo Ko Mita Jaate Hai
(dard Mein Bhi Yeh Lab Muskura Jaate Hai
Beete Lamhein Hamein Jab Bhi Yaad Aate Hai) – 2
Dard Mein…. Beete Lamhein


BHOOLANA TO CHAHA PER BHOOLAYA NAHI,
HUM NE WAASOU SE APNA DAMAN CHURAYA NAHI,
JUDA TO HUE PER MILNE KI TAMANNA BAQHI HAI,ISI LIYE DIL KISI OR SE LAGAYA NAHI HAI….

Some Interesting News

Share Your Shayari With Blog

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...