Wednesday, June 16, 2010

Mili Hai Badi Saza Unse Dil Lagane Ki

Mili Hai Badi Saza Unse Dil Lagane Ki
Nazar Lagayi Hamare pyar ko zamane ki
Khabar Se Nikle Huwe Dono Hath Kehte Hain
Aarzoo Rehgayi Use Gale Lagane Ki..

Yah meri talaash ka jurm hai

Yah meri talaash ka jurm hai,
Ya meri wafa ka kasoor hai,
Jo dil ke jitney karib hai,
Woh nazar se utne hi door hai..

Mere Gham ka No Koi Aar Naa koi par hai

Mere Gham ka No Koi Aar Naa koi par hai..
Mere to har dard ka sirf khuda hi raazdar hai..!!

Teri Mehfil me aake jam ke hashee,Raat pe rooye hai..
Duniya ki beed me hai, fir bi khud me khoyee hai..!!

Wo shakhs mujhe toot k rone nahin deta

Wo shakhs mujhe toot k rone nahin deta
Khawabon me agr aye to sone nahin deta
Khud us k marasim to zamanay se hain lekin
Mujhe wo kisi or ka hone nahin deta…

Tabeer jo Mil jati to ik khwab Bahut tha

Tabeer jo Mil jati to ik khwab Bahut tha.
Jo shaks ganwa Baithay hain Nayab Bahut tha.
Me kaise Bacha leta Bhala kashti-e-dil ko
Darya-e-Mohabbat me sailab Bahut tha…

Waqt Apni Raftar Se Chal Raha Hai

Aaj Kuch Kami Si Hai Tere Bagair
Na Rang Hai Na Roshni Hai Tere Bagair
Waqt Apni Raftar Se Chal Raha Hai
Magar Dhadkan Thami Si Hai Tere Bagair
Na Baarish Hai Na Dhuan Phir BHi
Dil Mein Tapish Si Hai Tere Bagair
Bahot Roka Aansuon Ke Badalon Ko Barasne Se
Phir Bhi Aankhon Mein Nami Si Hai Tere Bagair..

Ye raaz kon jane kis ka qasoor tha

Ye raaz kon jane kis ka qasoor tha
toota wahi sahara jis pe garoor tha
usay hai guroor k woh kisi aur ka hai
hamein hai naaz k woh kabhi hamara zaroor tha..

Tera dard Bayaan karne ke liye lafz nahi milate

Tera dard Bayaan karne ke liye lafz nahi milate
MOhabbat k jkham k dawa dukan me nahi milate

Kassh khuda hume itana dard nahi deta dost
Toh hum bhi mehfil me tumse hass-hass k milate..

Phir aansuon k kuch fasane nikle

Phir aansuon k kuch fasane nikle,
maikhane se sharabo k paimane nikle,

jo dil k haal ko samaj na paya,
unko hum apne zakham dikhane nikle..

Besabra hokar hamne zindagi bhi chohd di

Aati jati saanso me Zindagi basar hoti rahi
Annkho me ashk na rahe par Zindagi roti rahi

dekha tha khwab par anjaam kuch aisa hua
dil mera tadapta raha aur wo bhi roti rahi

besabra hokar hamne zindagi bhi chohd di
kafan na nasib hua kabra ko lash roti rahi

aaj to us maa ne apne bacche sula diye
kal ki fikra me raat bhar daman bhigoti rahi

behisab khwahisho ka bojh itna badh gaya
khwahisho ki bheed me zindagi khoti rahi..

Aye Khuda Aaj Ye Faisla Karde

Aye Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe Hain Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahut Mushkil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde…

Sab Hata Daingain Teri Raah Ki Rukawatain

Is Zamanay Say Na Hum Koi Gilla Rakhain Gain
Dil Lagayein Gain To Na Shart-E-Wafa Rakhain Gain

Na Dikhayain Gain Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhain
Dard Uthay Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Gain

Jaan Dey Daingain Agar Aik Ishaara Kar Dey
Ham Usay Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhain Gain

Sab Hata Daingain Teri Raah Ki Rukawatain
Hamdam Ghar K Darwazay Ko Her Waqt Khula Rakhain Gain

Unki Har Baat Ko Bhoolay Say Na Bhoolain Gain
Unn Ki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain Gain

Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki Hussaini
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Gain…

Har Muhabbat Wafa Nahi Hoti

Har Muhabbat Wafa Nahi Hoti
Har Wafa Adda Nahi Hoti

Kya Tamanna Ki Ab Zaroorat Hai
Puri Koi Dua Nahi Hoti

Mil Gaye Har Aik Gaam Per!
Doosti Woh Dawa Nahi Hoti

Sab Key Hathoun Mey Hain Diyeh Lekin
Roshni Ayye Khuda Nahi Hoti

Assmaan Yeh Qayaam Ho Ga Abb
Qeemat-E-Zameen Adda Nahi Hoti

Dhondtey Kya Ho Shehar Mey Abb
Har Soraat Tu Ashnaa Nahi Hoti…

Main Aksar Abb Sab Say Katraane Laga Hoon

Main Aksar Abb Sab Say Katraane Laga Hoon
Khud Ko Abb Khud Say Chupane Laga Hoon
Koi Mujh Say Agar Mere Dil Ka Haal Puche To
Khabar Usey Kuch Aur Hi Sunaane Laga Hoon

MeriTanhai Ka Abb Yeh Aalam Hai
Apni Dastaan Khud Hi Gungunaney Laga Hoon
Koi Ataa Bhi Nahin Abb Mere Ghar Mein
Phir Main Kyun Issey Sajaney Laga Hoon

Kuch Haasil Nahin Hai Uss Guzrey Waqt Say
Yehi Soch Kar ‘Bahut’ Sab Bhulaney Laga Hoon…

Aankho se kar k waada baaton se toar gaya

Woh to deewana tha mujhe tanha chhor gaya,
Khud na ruk saka to Apna saaya chhor gaya,

Dukh nahin Gham is baat ka hai,
Aankho se kar k waada baaton se toar gaya…

Yun na mil mujhse Khafa ho jaise

Yun na mil mujhse Khafa ho jaise
Sath chal mere mauj-e-saba ho jaise
log mujhe dekh kar has dete hai
tu mujhe bhool gaya ho jaise

ishq ko shirk ki hadd tak na badha
yun na mil hamse Khuda ho jaise
Maut bhi aaye to is Guroor ke sath
mujh pe ehsaan kiya ho jaise

Aise Anjan bane baithe ho
Tum ko kuch bhi na pata ho jaise
Hichkiyan aati rahi raat bhar
tune phir yaad kiya ho jaise..

Kal uski Yad puri Rat ati rahi

Kal uski Yad puri Rat ati rahi,
Hum jage puri Dunia soti rahi,
Aasman me bijli puri Rat hoti rahi,
Bas ek BARISH thi jo Mere sath roti rahi…

Aaj Dil Kii Har Baat Kahii To Tera Zikr Aaya

Aaj Dil Kii Har Baat Kahii To Tera Zikr Aaya,
Guzri Mohobat Kaa Har Lamha Yaad Aaya…

Hui Mud_dat Aaj Tak Mujhme Kuchh Nahii Badla,
Mere Khayaal Mein Teri Adaaon Par Naya Rang Aaya…

Teri Yaadon Kii Aahat Ko Batorne Mein Hoon Juta,
Bas Tera Karam Hai Yeh Jo Khud Ko Naa Samjha Paaya…

Saakib Zindagi Mein Ab Aur Kaya Raha,
Ik Khayaal Tak Naa Usko Tera Aaya…

Jee Raha Hoon Bas Issi Soch Mein Doobh Kar,
Vaada Kiya Tha Usne, Phir Kyu Nahii Aaya…

Aaj Dil Kii Har Baat Kahi To Tera Zikr Aaya,
Guzri Mohobat Ka Har Lamha Yaad Aaya…

Mujhse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine

Mujhse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,
teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,

jis pe likha tha ki tu meri muqaddar mein nahi,
apne maathe ki woh tehreer mita li maine,

har janm sabko yahaan sachha pyaar kahaan milta hai,
teri chaahat mein to umr bita li maine,

mujhko jaane kahaan ehsaas mere le jaayein,
waqt ke haathon se ek nazm utha li maine,

gheerey rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
teri yaadon se har ek saans saja li maine,

jiske sheron ko woh sunkey bahut roya tha,
bas wohi ek ghazal sabsey chupa li maine…

Main nahi khud ke liye,hoon main zamane ke liye

Main nahi khud ke liye,hoon main zamane ke liye
Khud ko zakhm de dekar auron ko hassane ke liye
Humne kya kya na kiya tere chale jaane ke baad
Tujhe hi yaad kiya tujhko bhulaane ke liye….

khud ke Ishq ko fanna kuan karega

khud ke Ishq ko fanna kuan karega,
sabhi nek banenge toh gunhaa kuan karega,
ae khuda bachaye rakhna uss bewafa sanam ko,
warna hamari maut ki dua kuan karega…

milne aaj ek baar chahe mujhe badnaam karde

milne aaj ek baar chahe mujhe badnaam karde…
ye charcha beshak is shehar mein aam karde….
kuch is tarah tu mujhe rula ke ja fir se….
mere aankh ke har aansu ko nilaam karde….

Mujhko ek bar aajmate to sahi

Mujhko ek bar aajmate to sahi;
Wo meri bajm mein aate to sahi.
Maine rakha tha sare sham se gher ko sajaker;
Tumne rukte ek pal mager aate to sahi.
Aapki khatir aapki khusiyon ki khatir;
Khud bhi ho jata neelam batate to sahi.
Yakeena aapke hisse mein raushani hoti;
Shamme wafa dil mein ek bar jalate to sahi.
Mai bhi insan hu patther nahi kyu thukraya ?
Khud ho jata tukde tukde batate to sahi…

Ab Dard kitne bhi mile, hum aah na kareinge,

Ab Dard kitne bhi mile, hum aah na kareinge,
Magar ishq karne ka, phir gunaah na kareinge…
Ek baar Maut aaye to hans kar laga le gale se,
Kam se kam Phir hum, Kiston mein na mareinge…

Woh Poochta hi raha har falsafe ke mayne

Woh Poochta hi raha har falsafe ke mayne
Zindagiii bahut samajhdar hai,
Sab kuch loot liye us katil nigah ne,
Aastin uski abhi bhi be daag hai…

Some Interesting News

Share Your Shayari With Blog

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...