Monday, February 15, 2010

Bheer me charon taraf chehre anjaaney miley


Bheer me charon taraf chehre anjaaney miley,
Mere apney aaj mujhse bankey begaaney miley.

Tha bharosa doston par itna ki mujhse na pooch,
Jinkey hathon me they patthar log pehchaney miley.

Bankey marham waqt hi bharta hai harek zakhm ko,
Jaisey jaisey waqt beeta zakhm pooraney miley.

Kiske aagey rotey aur sunatey apni dastaan,
Basti thi ujri huyee sunsaan thikaney miley.

Ab na maangengey illahi zindagi ki bheekh hum,
Ishq me shama ki ye kehtey huye parwaney miley.

Dil diya tha naaz se jis jis ne apni jaan ko,
Chand tootey dil ke tukre unko nazraney miley.

Maazi ki yaad me sab doobey huye they is qadar,
Khwab tere shahar ke sab log deewane miley.

0 comments:

Some Interesting News

Share Your Shayari With Blog

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...