Thursday, February 18, 2010

Dard dil ka ab to sawa ho gaya hai

Dard dil ka ab to sawa ho gaya hai,
Ye meri zindagi mein kya ho gaya hai,

Khali daman ka merey sauda ho gaya hai,
Manga tha tumse tumhari nazar ho gaya hai,
,
Aankhein khuli hain, har khwab so gaya hai,
Ummeed ka savera najaane kahaan kho gaya hai,

Har aas par khushi ka andhera sa chha gaya hai,
Saathi merey ye tujhko kya ho gaya hai,

Har jism musibat ki chakki mein pis gaya hai
Ek tu hi nahin jisey ye marz ho gaya hai

Veeraniyan teri mera naseeb ho gaya hai
Har dard tera meri zindagi ko kha gaya hai

Ye kiski duaon ka sila mujhko mil gaya hai
Ai dost tere haaton har zakhm chhil gaya hai

Ghamey zindagi ka ek baab aur khul gaya hai
‘chaand’ mujhey ek meherbaan aur mil gaya hai…

0 comments:

Some Interesting News

Share Your Shayari With Blog

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...