Baraay-e-naam sahi koi meherban to hai,
Hamare sar pe bhi hone ko aasmaan to hai,
Teri faraakh-dili ko duaaen deta hun,
Mere labon pe tere lams ka nishaan to hai,
Yeh aur baat k woh abb yahan nahin rehta,
Magar yeh us ka basaaya hua makaan to hai,
Ilaawa is k na kuch aur parda rakh mujh se,
Faseel-e-jism mere tere darmiyaan to hai,
Bichharr k zinda nahin reh sakenge hum dono,
Mujhe yeh vehem to hai un ko yeh gumaan to hai,
Saron pe saaya-figan abr-e-aarzu na sahi,
Hamare paas seraabon ka saayabaan to hai,
Gul-e-muraad nahin sung-haaye-tifl sahi,
Ghareeb-e-sheher ka aakhir kisi ko dehaan to hai..
0 comments:
Post a Comment