Friday, February 26, 2010

Umar gujar gayi tere pyar ko pane main

Umar gujar gayi tere pyar ko pane main
Ab waqt katta nahi teri yadon ke saye main
Yad teri hamko har pal satati hai
Kabhi hasati kabhi rulati hai
Kitni Mohababat karta hoon tujhse
Dekh jhank kar mere dil ke aaine main
Aur jab hua tha ikrare wafa sanam
Ham dono ne milkar khai thi kasam
Jamana lakh diware chunwa de lakh sitam karle
Ham nahi bahkege duniya ke aag lagane main
Aapne to hamara par bhar main hi sath chhod diya
‘Avinash’ ke dil ko tadapta chhod diya
Kya kami rah gayi thi
Meri Mohababat ko aajmane main.

0 comments:

Some Interesting News

Share Your Shayari With Blog

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...