Friday, February 26, 2010

Sab the hairat waha aadmi dekhkar

Sab the hairat waha aadmi dekhkar
Khush wah hota tha sabki khushi dekhkar
Iss taraf uss taraf kitne the aadmi
Chhal gaya wo mujhe sadgi dekhkar
Chhat pe jane ki jid mujhse karne lagi
Usko sujhi bhi kya chandni dekhkar
Ek farishte ne kimat ghata di thori
Ek beti meri chand si dekhkar
Dosti main bhi khanjar tha trishul tha
Log kya sikhte dushmani dekhkar
Thi jagah wo yahi wada tha umar ka
Chand aane lagi har gali dekhkar
Meri mayat pe bhi aankh nam na hui
Dil thithak sa gaya berukhi dekhkar.

0 comments:

Some Interesting News

Share Your Shayari With Blog

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...