Wednesday, January 7, 2009

Zehar

yu hi nahin koi rota hai
rone par dekhe to koi kya khota hai
seene mein dard kuch u sameta hai ki
aasuon mein bhi ab hamare zeher hota hai...

dard hi paya unke pyaar me aakar

har ummeed toot jati hai parvaan chadhkar,
har khushi laut jati hai do kadam aage badhkar,
socha tha unke pyaar se zakhmo ko bharenge,
par dard hi paya unke pyaar me padkar.......

aap ab tak na samjhi ki ye ishq ka afsaana hai,
yaha har gham khushi ka paimaana hai,
has has k har ghoot us paimaane se pee lo,
kyuki yaha gham to kya zindagi ka na koi thikaana hai.

kitna pyar

kitna pyar karty hein hum unsy
kaash unhy bhi iss baat ka ehsaas ho jaye
lakin aisa na ho ke wo tab aayien
jab hum gehri neend so jayien

Friday, January 2, 2009

dard

darguzar uski har jafa kar di
uskay haq main aj phir dua kardi
aik pal main kho diya usko
aik pal main kho diya usko
jisko paanay main inteha kardi

jaane kiun

jaane kiun main aansu baana nahi aata
jaane kiun haal-e-dil batana nahi aata
kiun saathi bichad jaate hain humesha humse
shayad humain hi saath nibhana nahi aata


Some Interesting News

Share Your Shayari With Blog

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...