Monday, January 4, 2010

Ya khuda mai kitni thi Nadaan

Ya khuda mai kitni thi Nadaan.
jo karti thi us par apni Jaan Qurwan..
woh to bahut nek aur Masoom tha.
uske dil mai kiya hai mujhe nahi maloom tha..
usne mujhe pyar kiya aur bahut pyar kiya.
phir maine bhi kahan usko inkaar kiya.
zi bhar kar maine bhi usko pyar kiya..
pyar ke jhhote jaal mai fans gai mai.
pyar mai dhoka bhi hota hai yeh bhool gai mai
Chahte to mujhko aur bhi the, aur dete the apni jaan
kiya tha aisa usmain jis par hamari thi jaan Qurwan.
ek din hawa ka aisa jhhoka aaya
mere sare sapno ko uda le gaya
uske kadoe alfaaz the
aur mere khali haath the
uski kadoi baaten thi
aur meri nikalti saanse thi
kis kadar usne ki mere saath bewafai
Uski khatir maine na ki thi apni sagai
Bahut rulaya usne mujhe sham-o- shar
Nahi ho pata hai uske bina ek pal bhi sabr.
maan ja mere priyetam pyare
laga le mujh ko apni saanso ke sahare
sirf tere hi liye ji rahi hoon
duniya ke kaduwe bol tere liye hi sun rahi hoon
muhabbat khuda ka anmol tohfa hota hai
yeh duniya kiya jane......
is ko to dhoka dena hota hai...............

0 comments:

Some Interesting News

Share Your Shayari With Blog

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...